London : 8 martaba ke Wimbledon champion Roger Federer aalmi number ek Novak Djokovic ke khilaaf kal Wimbledon ka final khelinge. 37 sala Federer apne grand slam ki tadaad mein ek aur izafah karte hue 21st khitaab haasil kar saktay hain jabkay 4 martaba ke Wimbledon champion aur difai champion Novak Djokovic apna 16th khitaab haasil kar saktay hain.
13 baras ke douran Novak Djokovic ney Federer ke khilaaf khailay gaye muqablon mein 25-22 ki Sabqat banai hai. alawa azeen guzashta 20 muqablon mein 14 martaba faateh rahay. alawa azeen 2014 aur 2015 may Novak Djokovic ney Federer ko shikast di thi jabkay Federer ney 2012 Wimbledon ke semi final mein Novak Djokovicko shikast di thi.
Federer aindah mah 38 saal ke hojaienge aur agar kal woh khitaab jeetnay mein kamyaab hotay hain to phir woh can rosowal ke baad maamar tareen Wimbledon champion honge jaissa ke rosawal ney 1972 may australiyai open khitaab haasil kiya tha. Federer jinhon nay quarter final mein tournament ka 100th muqaabla apne naam kiya tha, jabkay Semi final mein unhon nay apne taweel aur kattar hareef Rafael Nadal ko muqablay ke sakht aaghaz ke baad 7-6 ( 3 ), 1-6, 6-3, 6-4 se shikast di, doosri janib Novak Djokovic neay –apne Semi final muqablay mein ek aur Spanin hareef ko 6-2, 4-6, 6-3, 6-1 se shikast di hai.
Djokovic, Federer ke khilaaf sixth Wimbledon final khelainge aur woh Federer ko shikast day kar apne career ka 16th khitaab haasil karne ke liye pur azm hain. Novak Djokovic nay final ke mutaliq izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke Federer ke khilaaf muqaabla aasan nahi hoga lekin kamyabi ke liye woh apni tamam tar salahiyaten aur tawa naiya jhonk denge.
Darin asna federer nay izhaar khayaal karte hue kaha ke rawan baras mere liye kaafi shandaar raha jaissa ke mein naay Wimbledon final se qabal hall open bhi apne naam kya hai. Novak Djokovic ke khilaaf ek dahe se muqablay khail raha hon aur hum dono ek dosray ke khail se achi tarhan waaqif hain. Novak Djokovic aasan hareef nahi lekin inhen kis tarhan shikast dena hai is ka andaza hai. –YTN STAFF