Monday, May 6, 2024
HomeLatest NewsFazai aloodgi ke maslay markaz aur Delhi aamnay samnay

Fazai aloodgi ke maslay markaz aur Delhi aamnay samnay

New Delhi: Delhi ki aaloda aabb-o-hawa ke talluq se jumaraat ke roz markaz aur Delhi hukoomat mein ek baar phir bayan baazi shuru hogayi. Yeh bayan baazi markazi wazeer maholiyaat Prakash Javadekar ke is bayan par shuru hui jis mein unhoun ne kaha hai ke Delhi mein parali ki wajah se sirf 4 feesad Fazai aloodgi hoti hai, Baqi aloodgi yahan ke muqami masail ki wajah se hoti hai.

Chief Minister Arvind Kejriwal ne is ke jawab mein kaha hai ke baar baar tardeed karne se kuch nahi hoga agar Delhi mein sirf 4 feesad Fazai aloodgi parali jalne se peda hoti hai to phir achanak raat mein hi kaisay aloodgi phail gayi? Is se pehlay hawa saaf thi. Har saal yahi kahani hoti hai. Kuch hi dinon mein Delhi mein aloodgi ke talluq se aisi koi taizi nahi aayi hai? Kejriwal ne Tweet karkay kaha is baat ko tasleem karna hoga ke har saal shumali Hindustan mein parali jalne ki wajah se aloodgi peda hoti hai aur is ke hal ke liye hamein mil kar ladna hoga. Siyasat karne aur ek dosray par ilzaam tarashi se kuch haasil nahi hoga, Logoun ko nuqsaan ho raha hai. Corona ke waqt mein is terhan ki aloodgi ka bohraan baais tashweesh hai.

Kejriwal ne dar-ul-hukoomat mein alood gi se nimatnay ke liye aaj se’ laal batti jali, Garh band muhim ki shuruvaat bhi ki hai. Unhoun ne driveron se appeal ki ke woh ahed kare ke woh red light par apni gaadi band karen ge. Unhoun ne kaha ke red light honay ki soorat mein gaadi ko band rakhnay se aloodgi ko kam karne mein madad miley gi aur is se gaadi ke maalik ki bachat bhi hogi. Chief Minister ne kaha ek gaadi rozana taqriban 15  se 20 minute red light par guzarti hai aur is mein taqreeban 200 Milliliter tail ki khapat hoti hai agar aap laal batii par gaadi band karna shuru kar dein to aap saal mein 7000 rupay tak bach satke hain.