Monday, September 16, 2024
HomeSliderFawad Mirza ko Arjun aur Bajrang Punia ko Rajiv Gandhi khel ratan...

Fawad Mirza ko Arjun aur Bajrang Punia ko Rajiv Gandhi khel ratan award diya jayega

New Delhi: Sadar jamhooria hind Ramnath Kovind duniya ke ghoda sawaar muqabloun mein silver medal jeetnay walay Fawad mirza ko Arjun award, number ek pehelvaan Bajrang Punia aur rio Olympics silver medal jeetnay wali athlete Deepa mulk ko jummerat1 ko Rashtrapati bhavan mein munaqqid ek taqreeb mein mulk ke Aala tareen sports award Rajiv Gandhi khel ratan se nawaazainge jab ke cricketer Ravindra Jadeja sameit 19 khiladion ko bawaqar Arjun award diya jayega.

Taqreeb mein Rajiv Gandhi khel ratan, Dronacharya, Arjun award, Dhyan chand award, kheloun ki hosla afzai ke liye qaumi award, aur Moulana Abulkalam Azad trophy di jayegi.

Duniya ke number ek pehelvaan Bajrang nay doulat mushtarqa khelon mein gold, asiayi khelon mein gold, Hungary mein guzashta baras aalmi championship mein silver, is saal china mein asian championship mein gold, Bulgaria mein munaqidah bain ul aqwami tournament mein gold aur Georgia mein hue bain ul aqwami tournant mein gold medal jeeta hai. woh aglay saal Tokyo mein honay walay olympic mein mulk ke liye medal ki sab se badi umeed hai.

deepa malik para Olympics mein gold medal jeetnay wali pehli hindustani khatoon khiladi hain. unhon ne ab tak 58 qaumi aur 23 bain ul aqwami medal jeetay hain. Deepa ko is se pehlay Padamashree aur arjun award se bhi nawaza ja chuka hai.

Rajiv Gandhi khel ratan inaam yaftgan ko medal, toseefi sanad ke alawa saadhay saat laakh rupay naqad inaam diya jayega.

Arjun Dronacharya aur dhyan chand award yaftgan ko ek mujasma, touseefi sanad aur fi kas paanch laakh rupay inaam diya jayega.

Jakarta asiayi khelon mein silver medals jeetnay walay hindustani ghod sawar Fawad Mirza ne kaha ke sadar jamhooria ke hathon bawaqar Arjun award haasil karna un ke liye khawab ki takmeel jaisa hai.

Fawad ko jumeraat ko Rashtrapatti bhavan mein sadar Ramnath kovind se Arjun award mileyga. mulk ke behtareen ghod sawar Fawad Mirza yeh award haasil karne walay pehlay shehri baninge.

Riding mein ab tak jitne bhi Arjun award diye gaye hain woh sab ke sab fojion ko miley hain. award milnay ke mauqa par Fawad ne award ke liye khushii zahir ki lekin sath hi kaha ke inhen is izzat afzai ke liye apna naam sun kar pehlay to yaqeen nahi hua tha kyunkay ghod sawari mein hindustani karkardagi bohat achi nahi rahi aur aam logon mein yeh khel maqbool bhi nahi hai.

Fawad ne jakarta asiayi kheloun mein ghod sawari mein silver medal jeet kar is khel mein 36 saal baad mulk ko medal dilaya tha.

Arjun award panay wala woh pehlay civilian baninge. Fawad 29 august ko rashtrapatti bhavan mein sadar ke hathon yeh award qubool karne ke baad agli subah Germany rawana ho jayenge jahan woh Tokyo olympic ki apni tayario ko mazboot karenge.

Fawad ne kaha kay yeh award mere liye khawab poora honay jaisa hai aur is se mujhe mustaqbil aur aglay olympic ke liye behtar karkardagi karne ki targheeb mileygi. –YTN STAFF