Saturday, July 5, 2025
HomeIndiaFatwa par pabandi ka maamla: Jamiat Ulma ki arzi

Fatwa par pabandi ka maamla: Jamiat Ulma ki arzi

Mazhabi mamlaat mein rehnumai haasil karne se kisi ko rokna sarasar bunyadi huqooq par hamla.

Moulana Mahmood Madani General Secretary Jamiat Ulema e Hind ney Uttarakhand High Court ke zareya mazhabi idaron ke fatwa par aayed kardah pabandi ko Dastoor ke bunyadi huqooq aur Superem Court ke faisla ke khilaaf qaraar diya hai. Moulana Mahmood Madani ki yeh arzi kal Superem Court mein daakhil kar di jaye gi. Unhon ney apni arzi mein kaha ke High Court ka yeh faisla Constitution of India ki dafaa 26 aur Vishwa Lochan Madan case banam Hukoomat e Hind mein Superem Court ke sadir kardah faisla se mutsadam hai. Arzi mein istadlaal kiya gaya hai ke Dastoor e Hind ki dafaa 26 (b) mein har aik ko apne mazhabi masayel mein khud ke intizam ka haq diya gaya hai, lehaza usay koi bhi adalat khatam nahi kar sakti. Iss ke alawa High Court ka mazkoorah faisla Constitution ki dafaa 141 se bhi mutsadim hai jis ke tahet kisi bhi adalat ko Superem Court ke faislay ke khilaaf faislay ka haq haasil nahi hai. Unhon ney kaha ke mazhabi idaron se jari kya jaaney wala fatwa hargiz kisi ko is par amal karne ke liye majboor nahi karta balkay khud petitioner ke jawab mein sharai hukum ki wazahat hoti hai, aisay mein usay kisi tarha insani waqar aur Dastoor ke khilaaf nahi kaha ja sakta. Moulana Madani ney is baat par hairat ka izhaar kiya ke fazil judge ney sirf aik din ke andar wakeel ke zarey paish kardah akhbar ke tarashe ki bunyaad par faisla kardiya aur soorat waqea ki khatirkhuwa tafteesh ki zaroorat tak mehsoos nahi ki. Sach to yeh hai ke jis waqia ke madd e nazar faisla diya gaya hai is waqia ka fatwa se koi talluq nahi hai. Mutaliqa akhbar se bhi zahir hota hai ke woh panchayat ke logo ka faisla tha jis mein kisi aalim ya mufti ka naam tak bhi zikar nahi hai. Wazeh ho ke 3rd  August ke Amar Ujala mein yeh khabar shaya hui thi ke Lashkar mein asmat dari se mutasirah khatoon aur is ke ahal khanah ko muqami panchayat ney insaaf dilaney ke bajaye gaon se bahar nikal ney ka hukum de diya. Moulana Madani ney is azm ka izhaar kiya ke Jamiat Ulema e Hind Muslim aqliat ke mazhabi huqooq o shanakht ke liye har mumkin jidd o jahed jari rakhegi aur is muqadma ke silsila mein wukla se mashwera karne ke baad Adalat e Uzma mein poori quwat se apna muaqqaf paish kere gi.