Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaFarooq Abdullah ki nazar bandi khatam

Farooq Abdullah ki nazar bandi khatam

Sri Nagar: Jammu Kashmir hukoomat ne National Conference ke sadar aur rukan Parliament Dr Farooq Abdullah ki Public Safety Act ( PSA ) ke tehat nazar bandi khatam kardi hai. Jammu Kashmir hukoomat ke tarjuman Rohit Kansal ne apne Twitter Handle par leader ki nazar bandi ke khatmay ke mutaliq jari kardah hukumname ki Copy shaya karte huve likha hukoomat ne Dr Farooq Abdullah ki nazar bandi ke khatmay ke liye ehkamaat jari kiye hain.

Wazeh rahay ke 83 sala Farooq Abdullah par 16 September 2019 ko PSA ka itlaq kiya gaya tha. Inhen 5 August 2019, Jis din markazi hukoomat ne Jammu Kashmir ko khusoosi muaqqaf ataa karne wali ayeen Hind ki dafaa 370 aur dafaa 35 ae mansookh ki then aur Jammu Kashmir ko 2 hissoun mein taqseem karne ka elaan kiya tha, Kupwara mein waqay apni rahaish gaah jis ko sab Jail qarar diya gaya tha, Mein nazar-band kiya gaya tha.

Mehakma dakhla hukoomat Jammu Kashmir ki taraf se jari ek hukumname mein kaha gaya hai hukoomat Dr Farooq Abdullah walid marhoom Sheikh Mohammad Abdullah saaken Sri Nagar ke khilaaf zila Magistrate Sri Nagar ki taraf se PSA ke tehat 15 September 2019 ke nazar bandi ke hukumname jis mein baad azan towsee ki gayi, Ko mansookh qarar deti hai.

Dr Farooq Abdullah ko 3 martaba sabiq riyasat Jammu Kashmir ka Chief Minister rehne ka aizaz haasil hai. Farooq Abdullah ki sahebzadi Safia Abdullah Khan ne apne waalid par ayed PSA ki mansookhi ki khabar melitay hi Twit karte huve kaha mere waalid ek martaba phir ek azad aadmi hai. Mehbooba Mufti ki sahebzadi ne apni walida ke Twitter Handle par Twit karte huve deegar tamam qaidyoun ki rihayi ka mutalba kiya. Unhoun ne likha waqt aachuka hai ke sabhi qaidyoun bashmole Jammu Kashmir se baher ki Jailoun mein band hazaroun nojawanoun ko reha kiya jaye.

Qabil zikar hai ke saal guzashta ke 5 August ke baad se sabiq riyasat Jammu Kashmir ke 2 Chief Minister Omar Abdullah, Jo Dr Farooq ke Farzand bhi hain, Aur Mehbooba Mufti ju merhoom Mufti Sayeed ki sahebzadi hain, Hunooz PSA ke tehat nazar band hain. Un ke alawa mukhtalif partiyoun ke leaderan jin mein sabiq IAS ohdedar Shah Faisal bhi shaamil hain, Bhi musalsal nazri bandi ke ayyaam kaat rahay hain.

PSA ko insani haqooq ke aalmi nigaran idaray Amnesty International ne ek ghairqanooni qanoon qarar diya hai. Is ke tehat adalat mein pesh kiye baghair kisi bhi shakhs ko kam az kam 3 mah tak qaid kiya ja sakta hai. Jammu Kashmir mein is qanoon ka itlaq Hurriyaat Pasandoun aur azaadi haami ehtajaji muzahireen par kiya jata hai. Jin par is qanoon ka itlaq kiya jata hai unn mein se aksar ku Kashmir se baher jailoun mein band kiya jata hai.

National Conference ke naib sadar Omar Abdullah ne guzashta baras mah April mein janoobi Kashmir ke zila shopia mein ek awaami jalsay se khitaab ke douran kaha tha ke agar National Conference ko hukomat mili to Public Safety Act ko hataya jaye ga. Unhoun ne kaha tha agar hamein hukoomat mili to hum Public Safety Act ko hatayin ge aur phir kisi bhi maa ko apne bachoun ki talaash ke liye Jail khaanoon mein nahi jana pade ga. –YTN STAFF