Monday, April 21, 2025
HomeHyderabadFarokht ya kiraya par dena, Paigah palace ki qismat ka anqareeb faisla...

Farokht ya kiraya par dena, Paigah palace ki qismat ka anqareeb faisla mutawaqqa

Hyderabad: Shehar-e-Hyderabad tareekhi shehar honay ke sath nawaboun ka shehar bhi hai aur yahan kayi ek tareekhi emaratein hain jin mein ek khaas naam Paigah palace hai jahan is waqt Amrici council khanah apni khidmaat anjaam day raha hai lekin chand mahino mein Amrici council khanah Gachibowli mein apni imarat mein muntaqil hojayega to phir Paigah mehal ke mutaliq Telangana hukoomat kiya faisla karti hai is par sab ki nigehain markooz hain.

Aglay saal ke awail mein Amrici council khanah gachi bowli mein apni imarat mein muntaqil honay ke isharay dainay ke baad reyasti hukoomat ab 4 acre arazi mein waqay mehal ko kisi hotel network ko farokht karne ya karaye par dainay ki tayyariyan kar rahi hai. zameen ki qeemat samait jaedad ki laagat 300 crore rupay se zayed rakhi gayi hai.

Saal 2021 ke wast mein Amrici consul khanah tareekhi imarat se muntaqil hojane ke baad reyasti hukoomat ne rawan saal ke shuru mein mehakma municiple administration se kaha ke woh is imarat ko general administration department ( JAD ) ke hawalay kardey.

Reyasti hukoomat ki Hidayat ke baad baldia intizamia ke mehakma ki janib se imarat ke mushtarqa muaina ke liye Amrici consul khanaay ke ohdedaron ke sath rabita committee tashkeel di gayi hai. committee ko bhi kaha gaya hai ke woh Paigah palace ke leasing ke amal mein paeda honay walay umoor ke baaray mein haqeeqat se jald report peish karein.

 

Sarkari zaraye ney kaha ke team ki tashkeel feb mein ki jani thi taham is mein coronavirus wabai bemari ki wajah se mazeed takhir huyi hai. yeh committee 8 June ko principal secretary, municiple intizamia ke arvind kumar ney HMDA secretary ko ek yaad dehani bhejnay ke baad tashkeel di gayi. taham principal secretary municiple intizamia arvind kumar ney kaha ke yeh ehkamaat January 2020 mein municiple intizamia ko JAD ki hidaayat ke mutabiq jari kiye gaye thay aur covid-19 ki sorat-e-haal ki wajah se rok diya gaya hai.

 

yeh qiyaas aaraiyan ki jarahi hain ke naqad paisa ke husool ke liye reyasti hukoomat usay farokht kar sakti hai kyunkay woh wasail ko mutharrak karne ke liye mukhtalif rastoon par ghor kiya ja raha hai. taham imarat sabiq sakari record ke mutabiq yeh heritage imarat hai. kuch saal qabal heritage imaarton ke mutaliq nafiz honay walay naye qanoon ke baad virsa ki imaarton ki fehrist mein taaza kaari nahi ki gayi hai. chaar acre araazi mein imarat 1975 mein qaim honay se lekar 2008 tak hyderabad urban development authority ( HMDA) ka head quarter tha is se pehlay ke usay 2008 mein  Amrici consul khanaay ke hawalay kiya gaya tha.

Dilchasp baat ye hai ke HMDA bhi ek do hafton mein –apne tamam shobo ko ameerpet ke sawarna janti complex mein muntaqil kar rahi hai. kuch mah qabal hukoomat nay imaarton mein 8 crore rupay ki laagat se 3 manzlon mein Tazaeen wo Araish ka kaam shuru kiya tha. ohdedaron se kaha gaya hai ke woh nai imarat mein files aur deegar ahem dastawizaat aur alaat muntaqil karte hue ahteyati tadabeer ikhtiyar Karen. –YTN STAFF