Sunday, April 20, 2025
HomeSliderFariba Adelkhah aur 60 sala Roland Marchal jail mein shadi ke khawhan

Fariba Adelkhah aur 60 sala Roland Marchal jail mein shadi ke khawhan

Tehran: Iran ki reyasti security qawaneen ki khilaaf warzi ke ilzaam mein muqeed 2 Francesi Irani mohqiqeen ne jail hakkaam ko shadi ki ijazat ki darkhwast di hai jin ki umrein 60 saal se ziyaad hain. Iran aur France ki dohri shehriat ki haamil mumtaz maahir Fariba Adelkhah aur un ke hamkar Africi uloom ke maahir aur Francesi muhaqiq Roland Marchal ne Evin jail ke hakkaam ko shadi karne ki ki ijazat ke liye alehda alehda darkhawste pesh kee. Un dono ke wakeel Saeid Dehghan ke mutabiq Fariba aur Marchal dono ki umrein 60 saal se zayed hain. Ye dono Iran ki Evin jail mein khawateen aur mardoun ke allag allag hissoun mein hain. Un ke wakeel Saeid Dehghan ne Fariba ki sehat ke baare mein tashweesh ka izhaar karte huve kaha hai ke unn ki sehat roz burrows gir rahi hai kyunkay wo guzashta Decemeber se bhook hadtaal par hain.

Yaad rahay ke Fariba ko jasoosi ke ilzaam mein 6 June ko giraftar kar ke jail bhaij diya gaya tha. Baad azan Francesi muhaqiq Roland Marchal jo un se milnay Iran aeye they, Inhen bhi qaumi salamti ke khilaaf mili bhagat ke ilzaam mein giraftar kiya gaya tha. Fariba France mein kayi daheon se muqeem hain aur tahaqeeq ke liye aksar Iran ka safar karti rehti hain. Wo Iran ke Islami inqilab ke baad ke Irani muashray par tahaqeeq kar rahi then. Inhen jasoosi aur mulki salamti ke ilzamaat ke tehat hirasat mein liya gaya tha. Unn ko jasoosi ke ilzaam se barriat di gayi lekin inhen security qawaneen ki khilaaf warzi se mutaliq ilzamaat ka saamna hai. Fariba Adelkhah  ke saathi aur 38 saloun se unn ke sath zindagi busar karne walay francesi muhaqiq ki giraftari ka inkishaaf guzashta saal october mein francesi hakkaam ne kiya tha. Is giraftari ki wajah ye batee gayi ke Marchal apni dost se mulaqaat ke liye Iran gaye they. Inhen Iran ke khilaaf propaganda phelanay ke ilzaam mein giraftar kar ke Evin jail mein paband salasil kar diya gaya.

Guzashta Decemeber mein France ne Paris mein Irani safeer ko talabb karte huve Fariba Adelkhah  aur Roland Marchal ki mahino se nazerbandi ko na qabil qubool qarar diya tha. Sath hi francesi hakkaam ne mutalba kiya tha ke dono francesi shehrioun ko Councilor se milnay ki ijazat di jaye. Taham is baray mein koi wazeh baat samnay nahi aayi ke aaya ye ijazat di gayi thi? Fariba Adelkhah  ne France ki Strasbourg university se Sociology ki taleem haasil ki aur Paris ke social sciences school of Higher Studies se Doctorial ki sanad haasil ki. Un ki tehqeeq ka talluq bunyadi tour par Iran aur Afghanistan mein khawateen ke masail aur masharti waqeat se hai. Iran ke mukhtalif adwaar khaas tor se Islami inqilab ke baad Irani muashray ki sorat e haal par tehqeeq karna unn ki tarjeehat mein shaamil hai.

Un dono Francesi bashindoun ke wakeel Saeid Dehghan ne kaha hai ke Fariba aur Marchal ki janib se di gayi shadi ki ijazat ki darkhwast par faisla aindah haftay mutawaqqa hai. Unhoun ne mazeed kaha ke ye dono France mein guzashta 38 saloon se jeevan saathi ki hesiyat se reh rahay they. Agar inhen shadi ki ijazat mil gayi to wo jail ke andar ek dosray se mil saken ge. Wakeel Saeid Dehghan ne Irani qawaneen ki wazahat karte huve kaha Iran mein ghair azdawaji taluqaat par pabandi aed hai. Dehghan ne mazeed kaha Fariba guzashta decemeber se apni aur apne saathi Marchal ki nazar bandi ke khilaaf ehtijaj ke tor par bhook hadtaal barqarar rakhay huve hain. Un ki pair kamzor ho gaye hain aur inhen chalne mein mushkilaat ka saamna hai.

Wakeel ne Fariba ke gurdoun ko bemari ka zikar bhi kiya lekin mazeed tafseelaat zahir karne se guraiz kiya. Iran ne mutadid ghair mulki aur dohri shehriat rakhnay walay afraad ko nazar band kar rakha hai. Un mein 5 Americi Irani shehri bhi shaamil hain. Decemeber mein qaidyoun ke tabadlay ke silsilay mein Iran ne Americi shehar Princeton  se talluq rakhnay walay ek cheeni nazaad Americi Scholar ko reha kiya tha. Usay jasoosi ke ilzamaat ke tehat 3 saal nazar band rakha gaya tha. Is ki rehaie ku Iran aur America ke darmain ek ghair mamooli safarti pishraft ke tor par dekha gaya. Taham ye Iran ke aala general Qasem Soleimani ki Americi Drone hamlay mein halakat se qabal ka waqea hai. –YTN STAFF