Sunday, May 19, 2024
HomeSliderFamily Visit Visa ke Sharait mein koi Narmi nahi

Family Visit Visa ke Sharait mein koi Narmi nahi

Riyadh: Saudi Arab ke Mehakma Passport ke mutabiq Family Visit Visas ki muddat khatam honay par koi mohlat nahi di jasakti. Jis din visit visas ki miyad khatam horahi hogi woh mulk mein qiyam ka aakhri din hoga, is roz family visit visas par aanay walay ko safar karna hoga. iske baad qiyam ghair qanooni shumar hoga.

Tafseelaat ke mutabiq Mehakma Passport se twitter account par Istefsaar kiya gaya tha ke kiya family visit visa ki muddat khatam honay par visa par aanay walay ko 3 din ki mohlat di jati hai ya nahi? Mehakma passport ne iske jawab mein wazeh kiya ke family visit visas par anay walay ko visas ki muddat ke aakhri din tak safar karna hoga. meyaad khatam honay ke baad koi mohlat nahi di jasakti.

Wazeh rahay ke Saudi arab mein muqeem lakhoun taarik-e-watan apne Aziz-wo-aqarib khususan ahliya aur bachoun ko visit visas par bulatey hai. Baaz auqaat reservation nahi mil pati, aksar sahet ya kuch gharelu masail paeda hojatay hain jiski wajah se safar mushkil hojata hai. Baaz tarkin-e-watan ye sochkar ke visas ki meyaad khatam honay ke 3 din ke andar inhen seat mil rahi hai to reservation karwa letay hain aur samajte hain ke aisa karne ki soorat mein unse koi baz purse nahi hogi. Mehakma passport ne is imkaan ki tardeed kardi hai aur wazeh kiya hai ke meyaad ke aakhri din tak safar karna hoga. –YTN STAFF