Tuesday, April 30, 2024
HomeSliderFalasteeniyoun ke liye munsifana aur jame aman mansoobah Na-guzer

Falasteeniyoun ke liye munsifana aur jame aman mansoobah Na-guzer

Dubai: Abu Dhabi sarbarahi ijlaas mein urdan, Bahrain aur UAE ne Falasteeniyoun ke aman ke baray mein tabadlah khayaal kiya.

Urdan, Bahrain aur UAE ke rehnumao ne Falasteeniyoun ke liye ek munsifana aur jame aman ke husool ki zaroorat par tabadlah khayaal kiya.

Ye bayan urdan ke Shah abdullah, Bahrain ke Shah Hamad al-khalifa, aur Abu dhabi walii ehad shehzada Mohammad bin Zaid ke mabain sah friqi sarbarah ijlaas ke douran samnay aaya hai.

Ye  ijlaas guzishta roz UAE ke dar-ul-hukoomat mein hua, Urdan ki sarkari khabar rasan agency ke mutabiq  un rehnumao ne apne mumalik ke mabain bhai chaargi  aur strategic taluqaat par tabadlah khayaal kiya.

Unhon ne Israel ke sath do reyasti hal par mabni Falasteeniyoun ke liye ek munsifana aur jame aman ke husool ki zaroorat par ittafaq kiya, jo azad Falasteeni riyasat ke qiyam ki zamanat deta hai.

Bahrain aur UAE ne haal hi mein Israel ke sath taluqaat ko kholnay ke muahidon par dastakhat kiye. Urdan, misar ke saath  sirf dosray arab mumalik hain jin ke Israel ke sath taluqaat hain. Bahrain ne apna pehla sarkari wafad Israel rawana kiya kyunkay dono mumalik taawun ko wasee karne ke khwahan hain. Is ijlaas  may urdan, UAE aur bahrain ne sehat aur khoraak aur adwiyaat ki hifazat samait mutadid shobo mein taawun badhaane ke tareeqon par bhi tawajah markooz ki, neez coronavirus  ka saamna karne ki koshisho par bhi tawajah markooz ki.

yaad rahe ke haliya dinon mein Amrici sadar donald Trump intizamia ne Israel ke arab mumalik ke sath taluqaat ko bahaal karne ki kamyaab koshish ki hai jiski wajah se UAE aur bahrain ne Israel se muahiday kiye hain. un muahidon ki wajah se arab duniya aur Israel ke safarti taluqaat hamwar hue hain neez is mein mazeed behtari ki koshish jari hai.