Wednesday, July 9, 2025
HomeWorldFalasteeni panah gzinon ke 'haq e wapsi' ko khatam karne Amrici saazish

Falasteeni panah gzinon ke ‘haq e wapsi’ ko khatam karne Amrici saazish

America ki janib se Falasteeni panah gzinon ki maali imdaad band kiye jane ke baad ab naam nihaad qawaneen ke zareya Falasteenion ki apne ilaqon mein wapsi aur abad kaari ke haq ko khatam karne ki nai saazish shuru ki gayi hai.’Al Arabia dot net’ ke mutabiq Amrici Congress mein aik naya Bill paish kya gaya hai jis mein Falasteeni panah gzinon ki tadaad kam se kam zahir karne ki sifarish ki gayi hai. Naqideen nay is Bill ko Falasteenion ke ‘haq wapsi’ ku naaqabil e talaafi nuqsaan pohanchanay ki aik nayee saazish se tabeer kya hai. Amrici Congress mein yeh naya Bill Republican Party ke rukn Doug Lamborn ney paish kya hai. Un ka kehna hai ke aqwam mutahidda nay jung ke baad chay laakh Falasteenion ki wapas un ke ilaqon mein abadkari aur muhajreen ki maali kifalat ke liye ‘UNRWA’ Agency qayim ki. 70 saal guzarnay ke baad duniya bhar mein Falasteeni panah gzinon ki tadaad 53 laakh se tajawaz kar gayi hai. Falasteeni panah gzinon ki doosri aur teesri nasal bhi panah gazeen qarar di ja rahi hai. Un par bhaari budget sarf ho raha hai. Unhi ki wajah se panah gzinon ka na khatam honay wala masla paida huwa. Lehaza doosri aur teesri nasal mein shaamil Falasteenion ko panah gazeen shumaar nah kya jaye. Unhon ney tasleem kya ke Falasteeni panah gazeenon ki behbood ke le qaim kardah ‘Relief and Works Agency’ UNRWA ko siyasi aur iqtisadi taur par is liye kamzor kya ja raha hai taakay woh kam se kam Falasteeni panah gzinon ka bojh uthaye. Un ke naye mussavida qanoon ka maqsad yeh hai ke panah gazeenon ka ‘status’ sirf un Falasteenion ko diya jaye jo 1948 ki jung mein Palestine se nikalay gaye. Un ki aulaad aur doosri aur teesri nasal ko un mein shaamil na kya jaye. Isi terha un Falasteenion ko bhi panah gazeen qarar na diya jaye jo dosray Mulkon ki shehriat haasil kar chukay hain. Aisi soorat mein Falasteeni panah gazeenon ke liye 50 lakh dollars ki raqam hi kaafi rahay gi. Washington mein Middle East Peace Institute ki khatoon Director Lara Friedman ka kehna hai ke Americi Congress mein paish kardah Bill ka maqsad Falasteeni panah gzinon ki maali imdaad roknay ke liye qanoon saazi nahi balkay is ka maqsad Falasteeni panah gzinon ki tadaad kam se kam karne ki koshish hai. Jab ‘UNRWAا’ Agency par Falasteeni panah gzeenon ki doosri aur teesri nasal ka bojh nahi rahay ga to un ke maslay ko aasani ke sath hal kya ja sakta hai. Aik dosray tajzia nigaar David Boulak ka kehna hai ke 70 saal guzarnay ke baad Falasteenion ki badi tadaad ab Israel ke zair e intizaam Yahoodi muashra mein wapas jane ke khwaahan nahi hain. Raye aama ke jaizon se pata chalta hai ke Falasteeni panah gzinon ko Israel mein abaad honay mein koi dilchaspi nahi.