Saturday, May 18, 2024
HomeSliderFalasteen mein aam intikhabaat, fatah aur Hammas ke mutfiq

Falasteen mein aam intikhabaat, fatah aur Hammas ke mutfiq

Amman: Falasteen ki do ahem siyasi jamaaton Fatah aur Hammas ne aindah 6 mah ke andar mulk mein aam intikhabaat karanay par ittafaq kiya hai unhon ne guzishta roz ye elaan kiya hai. istanbul mein Falasteeni sifartkhane mein munaqidah ijlaas ke baad jari ek press release mein kaha gaya hai ke dono wafood muttahid nazriya par pahonch gaye hain.

Bayan mein kaha gaya hai, hum ittafaq karte hain ke yeh vision pukhta ho gaya hai aur hum sadar (Mahmood) abbas ki sarparasti mein 1st october se pehlay honay walay tamam fariqain ki shirkat ke sath mulk-ger baat cheet ke saath aage badhne ka irada rakhte hain.

Fatah central committee ke secretary general Jabral rajub ne Falasteen TV ko bataya ke jald hi Ramallah mein tamam fariqain ke sarbrahan se mulaqaat hogi aur is ijlaas ke baad intikhabaat ka elaan karne walay sadaarti farmaan ke ajra ke baad hoga. Falasteen ki sarkari khabar rasan agency ne Rajub ke hawalay se kaha hai ke intikhabaat 6 mah ke andar teen marahil mein honge. hamaray paas qanoon saaz intikhabaat honge, is ke baad sadaarti intikhabaat aur phir jahan mumkin ho Falasteen ki qaumi council ke liye intikhabaat honge.

Gaza mein Hamas ke tarjuman fozi ne kaha ke istanbul mein munaqidah ijlaas mein ek naye iqdaam ki bunyaad ki tasdeeq ki gayi jiska maqsad ittehaad aur Iqtidaar mein shiraakat par mabi policy banana. Falasteen ki qaumi council ke ek rukan najeeb qudomi ne media se kaha hai ke ye ijlaas falstinyon ke mabain is ehsas ki akkaasi karta hai ke Falasteeni cause ko Amrici Israeli vision ki bunyaad par mustard kiya ja raha hai aur sirf ittehaa za ke zar hi hum is ko khatam kar saktay hain. Falasteeni maqasid ke khilaaf is saazish ka muqaabla karen.

Gaza mein muqeem karkun ne radio station se guftagu mein kaha ke aakhri baar intikhabaat 2006 mein hue thay. bohat se falstinyon ke liye yeh ek ahem lekin nai sargarmi hogi. insani huqooq se mutaliq azadi commission ke Amaar ne kaha ke beirooni dabao ne falstinyon ko muttahid honay par majboor kardiya hai. unhon ne kaha sorat e haal intikhabaat ke liye pukhta hogayi hai kyunkay har ek ko ehsas hai ke woh intikhabaat ke juwaz ke baghair yaksar tanha ho jaienge.

Al mirsaad (arab world democracy and monitor) ke board ke rukan hazm  ne wazeh kiya khayaal yeh hai ke yeh ek waqt ki sargarmi hogi jo Jerusalem ke maslay ko ujagar karegi.