Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadFaiz ne Meer, Ghalib aur Iqbal ki sheri rewayton ki towsee ki

Faiz ne Meer, Ghalib aur Iqbal ki sheri rewayton ki towsee ki

Online Adbi Forum ” Baazgasht  “ ka dosra adbi ijlaas
Faiz Ahmed Faiz ki nazmon ki pesh kash aur tajzia
Hyderabad: Faiz Ahmed Faiz taraqqi pasand shayron ke karwan mein sab se agay hain. unhoun ne Meer Tqi Meer , Mirza ghalib aur allama Iqbal ki sheri rwayton ki tosee ki. un ki shairi ya taraqqi pasand shairi rivayet se baghaawat nahi hai balkay unhoun ne maazi ki riwayaat ko Asri halaat ke aienay mein pesh kya. Unhoun ne qadeem alamaton ko naye maienay diye. Faiz ka kamaal ye hai ke unhoun ne naara baazi ko bhi sheiriyat ataa kar di hai. Un ki fikar mein tasalsul milta hai. Wo apni shairi mein aas paas ke mahol ko samo letay hain. Wo khud ko awam aur mehnat kash tabqay se allag karkay nahi dekhte. Yahi wajah hai ke un ki shairi awam ko Appeal karti hai. “Un khayalat ka izhar maroof taraqqi pasand naqaad, Qaumi Urdu Council ke sabiq Director aur Delhi University ke subak dosh ustaad professor Ali Jaweed Baazgasht Online adbi forum ki janib se mashhoor taraqqi pasand shayar Faiz Ahmed Faiz ki nazmon ki pesh kash aur tajziye par mabni Google meet par munaqidah programme mein bah hesiyat sadar ijlaas kiya.

Is moqay par Momtaaz Theater aur TV fankar janab Javed Naseem ney Faiz ki nazmein ”Mujhe se pehli si Mohabbat“, ”Raqeeb se“, ”Mozoh Sukhan“ aur ”Delkhash andaaz mein pesh kee. Jalsay mein buzurag naqaad, Shayar aur mutrajim professor Rehmat Yousuf sabiq ustaad Hyderabad Central University ney ”Mozoa Sukhan“ aur ”Tanhahi“ aur nayi nasal ke Adeeb, Shayar aur mutrajim Dr Syed Mahmood Kazmi Ustaad Shoba tarjuma, Maulana Azad National Urdu University, Hyderabad ne, Mujh se pehli si Mohabbat aur Raqeeb se “ nazmon ke behtareen tajziye pesh kiye aur qabil ghhor nakaat ki janib ishara kiya. Professor Naseemuddin Faris, Sadar Shoba Urdu, Maulana Azad National Urdu University, Hyderabad, Dr Syed Imtiazuddin aur Dr Rishman Parveen, Lucknow ne nazmoon se mutaliq mubahis mein hissa liya. Dr Feroz Alam rukan intizamia committee ne mehmanon ka taaruf pesh kiya jabkay doosri rukan Dr Hamirh Sayed ne nizamat ki karwai bah tareeq Ahsen chalaye. Majlis muntazima ki teesri rukan Dr Goll-e-Rana ne izhaar tashakkur kiya. Is ijlaas mein mulk-o-bironِ mulk ke shaiqeen adab ne badi tadaad mein shirkat ki.