Thursday, May 2, 2024
HomeSliderFacebook video ne ek la-patah shakhs ko 48 saal baad apne afraad-e-khandan...

Facebook video ne ek la-patah shakhs ko 48 saal baad apne afraad-e-khandan se milwaya

Dhaka : Media report ke mutabiq, ek Bangladeshi shakhs, jo karobari doray ke liye ghar se nikla tha aur wapas nahi lota tha. Bil-akhir 48 saal baad ek Facebook video ki madad se apne ahal-e-khanah se dobarah mila. Daily star akhbar ne haftay ke roz apni report mein bataya ke Habibur Rahman jung ke theek baad apne aabadi shehar Sylhet  ke bajram mein lohay ke rod aur cement ki tijarat karte they.

30 saal ki Umar mein jab woh ghar se niklay to, unke ahal-e-khanah ne door daraaz maqamat mein inhen talaash kiya aur har taraf inhen dhondne ki har mumkin koshish ki, lekin woh inhen dhondne mein nakaam rahay.

Jummay ke roz, Habibur Rahman ke badey Farzand ki ahliya, jo America mein rehti hain, ne ek mareez ke liye maali madad ke khwaahan 1 shakhs ki video post Facebook par dekha. jiska paisa nah honay ki wajah se ilaaj nahi ho saka tha. is ne apne sasur ke la patah honay ki kahaniyan suni theen. woh mashkook ho gayi aur is video ko apne shohar ko share kiya.

Habibur Rahman ke badey Farzand ne mareez ki jaanch padtaal ke liye apne bhaiyon ko foran apne gaon bulaya. haftay ki subah, bhaiyon ne hospital ka doura kiya aur tasdeeq ki ke video mein shaamil mareez koyi aur nahi unke waalid they.

Akhbar ne ek bhai ke hawalay se bataya ke ”mujhe yaad hai ke, meri walida aur mamu barsoun se inhen dhondne ki koshish kar rahay they, aur aakhir-kaar haar maan liya. baad mein saal 2000 mein meri maa ka intqaal hogaya.

Wazeh hoke, Habibur Rahman 25 saloun se molvi bazaar ke ilaqay mein rahaish Pazeer they, jahan, Razia begum Nami khatoon unki dekh bhaal kar rahi thi. Razia ne bataya ke un ke kumba ke afraad ne 1995 mein Habibur Rahman ko hazrat Shahab uddin ki dargaah mein ek qabil reham haalat mein paaya. unhon ne kaha ke woh khanah badosh zindagi busr kar rahay they. aur jab se woh hamaray sath hain, hum unka ehtram karte hain aur inhen peer kehte hain.“

Is tarah Facebook video ke zareya 1 shakhs ka 48 saal baad apne afraad khanah se mulaqaat ho gayi. Habibur Rahman ke milnay ke baad unke kumba ne inhen behtar ilaaj ke liye ek niji hospital mein daakhil karwaya.      –YTN STAFF