New York: Duniya ke har fard ki yeh khwahish hoti hai is ke rang wo roop aur uski karkardagi ko har koi pasand kare aur is khwahish ko poora karne mein social media ne kaledi rule ada kiya , yeh hi wajah hai aaj hum apni tasaveer, videos aur khaas kar selfies ko social media par shaya karte hain aur dekhte rehtay rehtay hain kitney afraad ne hamari post ko pasand kiya hai jabkay Facebook par to bazabta yeh sahoolat moujood ke hamari post ko kitney afraad ne pasand kiya iske adaad wo shumar se mojood hotay hain lekin ab Facebook company ki janib se is ke is qadeem future’ ‘ like’ ko khatam karne par kaam shuru kardiya gaya hai yani Ab Facebook par aap ki post ko kitney afraad ne like kiya iska ilm nahi hoga.
Social media ki mashhoor Website Facebook naya pan laane ke liye har waqt kuch nah kuch karti rehti hai. kisi feature ka muta-arif karna, safha ka andaaz badalna sameit deegar ahem umoor mein Facebook ne guzashta chand saal mein badey iqdamaat uthaiye hain ab nai it-tila-aat hain ke social media ki Website Facebook post like karne walon ki tadaad zahir nahi karegi. har koi chahta hai ke Facebook par uski post ko ziyada se ziyada likes milein iske sath har company, showbiz, cricket, news sites sameit deegar ahem idaron ek dosray par baazi le jaane ke liye koshan hotay hain lekin ab un sab ko mayoosi hosakti hai.
Likes haasil karne ke liye log aisay afraad ko doston ki fehrist mein shaamil kar letay hain jinka door ka bhi koi vaastaa nahi hota. aisay mein un afraad ki hosla shikni hoti hai jin ke doston mein sirf wohi log shaamil hotay hain jin ko zaati zindagi mein jantay hain. tafseelaat ke mutabiq Facebook ki taraf se is muamlay ka hal nikaal liya gaya hai aur tajurbah kiya jayega ke log kisi post ke neechay yeh nahi dekh sakenge ke kisi post ko pasand karne walon ki tadaad kitni hai. ab sirf yeh likha hoga ke post ko ek dost aur deegar ne like kiya hai. yaad rahay ke rawan baras March mein Facebook ke ek ohdedar ne kaha tha ke Facebook likes ka number zahir karne walay feature ko khatam karne par ghor kar rahi hai. is naye tajurbah ka aaghaz sab se pehlay Australia se hua hai aur dekha jayega ke feature ke khatam honay se sarfeen ke kiya rad-e-amal hotay hain aur agar tajurbah kamyaab raha to duniya ke deegar khitton mein bhi muta-arif karwaya jayega. –YTN STAFF