Monday, April 29, 2024
HomeSliderFaateh hindustani team ko BCCI ka 5 crore ka bonus

Faateh hindustani team ko BCCI ka 5 crore ka bonus

New Delhi : Australia ke khilaaf shandaar karkardagi ke zareya border-gavaskar trophy par 2-1 ka qabza jamanay wali hindustani team ko BCCI ki janib se 5 crore ka bonus diye jane ka elaan kiya gaya hai. Ajinkya Rahane jinki qayadat mein Hindustan ne aaj Brisbane mein munaqidah test match ke panchwin din ek ghayr-maa’mooli kamyabi haasil karte hue matlooba 328 runs ka nishana haasil karliya aur maizban team ke Gabba mein 32 sala na qabil taskheer moqoof ko khatam kardiya. is kamyabi ke chand minute baad hi BCCI ke saddar Sourav ganguly aur secretary Jaye shah ne tweet karte hue bonus ka elaan kya. Ganguly ne tweet kya ke team ko hindustani 5 crore rupiye ka bonus diya jayega jaisa ke team ne Australia mein ghayr-maa’mooli kamyabi haasil karte hue ek nai tareekh raqam ki hai. yeh hindustani cricket ke liye na qabil faramosh aur yadgar lamhaat hain jabkay jiye sha ne nojawan hindustani team ke muzahiron ki sataish ki.

Darin asna Ajinkya rahane ki qayadat mein hindustani team jis ne Australia ke khilaaf chaar muqablon ki test series mein na qabil yaqeen aur shandaar kamyabi haasil ki hai is ka usay ICC ki test darja bandi mein bhi faida hua hai aur woh ab dobarah pehla maqam haasil karliya hai.

Australia mein haasil honay wali kamyabi ke zareya Hindustan ko 430 nishanaat haasil hue hain jiski badolat ab woh newzealand se pehla maqam chean liya hai kyunkay newzealand ke is waqt jumla nishanaat ki tadaad 420 hai jabkay teesray number par mojood australiyai team ke naam 332 nishanaat darj hain. ICC ne tweet karte hue likha ke Gabba ne shandaar kamyabi ke zareya Hindustan ICC test championship ki fehrist mein pehlay maqam par pahonch chuki hai jabkay Australia ko nuqsaan ke baad teesray maqam par iktifa karna pada hai. Hindustan ne ta haal 13 muqablay khailay hain jis mein usay 9 futuhat aur 3 muqablon mein shikast bardasht karni padi.