Thursday, May 16, 2024
HomeTrending NewsExpo Dubai 2020 ek saal ke liye multawi kardiya gaya

Expo Dubai 2020 ek saal ke liye multawi kardiya gaya

Paris: Expo Dubai 2020 1 saal ke liye multawi kar diya gaya hai. Program ke mutabiq ab ye numayesh Expo Dubai ke hi naam se October 2021 mein hogi. Iltiwa ka faisla coronavirus se peda honay wali dushwaryoun ki wajah se kiya gaya hai. Tafseelaat ke mutabiq Expo International numayeshoun ke bain ul aqwami idaray ne jis ka head quarter Paris mein hai bataya hai ke Expo Dubai ke iltiwa ka faisla do tahai aksariyat se kiya gaya.

Idaray ke secretary general Dimitri S. Kerkentzes ne bayan jari karkay kaha ke corona waba ke baais aisa kiya gaya aur isi wajah se Expo multawi karne ka faisla kiya gaya. UAE ne March tak multawi karne ki tajweez rakhi thi. Ab ye numayesh Expo 2020 Dubai ke hi naam se October 2021 mein hogi. 

Numayesh ki working committee ke rukan 12 mumalik neh jin ka intikhab general assembly neh kiya tha ijlaas karkay saari sorat e haal ka jaiza liya. Tamam rukan mumalik neh is baat se ittafaq kiya ke Expo ku Virus ke pesh e nazar multawi kiya jana zurori hai. Expo 2020 Dubai pehli baar mashriq wasti Africa aur janoobi asia ke ilaqay mein munaqqid hogi. Ye Arab duniya mein apni noiyat ka sab se bada Event huga jis mai 192 mumalik ke ilawa bain ul aqwami companian, Tanzeemen aur Academies shareek hongi. –YTN STAFF