Thursday, May 16, 2024
HomeTrending NewsEurope ney Israeli mansoobah mustard kardiya

Europe ney Israeli mansoobah mustard kardiya

London: Europe ke 25 mumalik ke 1 hazaar se zayed arkaan parliament ney Garbh Urdan ko apni khudmukhtaari mein shaamil karne ka Israeli mansoobah mustard kardiya. Website ke mutabiq Europe parliament ke 1080 arkaan ney ek khat par dastakhat kiye hain jis mein kaha gaya hai ke Israeli mansoobay ka jawab dainay ke liye thos iqdaam kiya jaye.

Irkaan parliament ney Garbh Urdan ke ilaaqoun ko apni khudmukhtaari mein shaamil karne se mutaliq Israeli faislay par tashweesh ka izhaar karte huve kaha kay is se bain ul aqwami taluqaat mein khatarnaak nazeer qaim hogi. Europi arkaan parliament ka ye pegham Europi akhbarat mein shaya huwa hai aur usay Europi mumalik ke wazraye kharja ko bheja gaya hai.

Europe arkaan parliament ne khabardar kiya hai ke is qisam ke iqdaam se Palestine Israel aman amal ka mahol khatam hojaye ga aur aqwam mutahidda ke manshoor samait bain ul aqwami taluqaat ko munazzam karne walay bunyadi usool tabah ho jaien ge. erkaan parliament ne kaha hai ke Americi sadar Donald Trump ka mansoobah mutafiqa bain ul aqwami zabtoun aur muqarara usooloun ke manafi hai.

Unhoun ne kaha kay Europi mumalik ko Garbh Urdan ke ilaqay Israeli khudmukhtaari mein shaamil karne se roknay ke liye tamam bain ul aqwami fareeqoun ko agay badh kar mutharrak karna hoga. Europi union Israel ko is iqdaam se baz rakhnay ke liye qaail karne ki koshish kar rahi hai.

Europi union, Israel wazeer e azam Benjamin Nethanyahu ki janib se apni scheme par amal daraamad ki soorat mein jawabi karwai ki tajweez par ghhor kar rahi hai taham Israel ke khilaaf mumkina pabandioun ka faisla isi soorat mein ho sakta hai jabkay union ke tamam rakan 27 mumalik is ki manzuri den.

Darin Isna aqwam mutahidda ke general Secretary Antonio Guterres ne Israeli hukkaam se mutalba kiya hai ke wo maqboza Garbh Urdan mein Israeli bastiyon ko apni khudmugtari main shaamil karne ki Schemes se dastbrdar hojaye. Secretary General ne aqwam mutahidda ki salamti council se kaha hai ke agar Israel ne khudmukhtaari mein shamoliat ke faislay par amal kiya to ye bain ul aqwami qanoon ki sangeen khilaaf warzi shumaar hogi aur is se 2 reyasti hal ke farmole nuqsan ku puhanche ga. Is se aman mazakiraat ke ihyaa ke imkanat madoom hojayen ge.