Thursday, May 16, 2024
HomeSliderEurope ki sab se badi aur Khoobsurat masjid ka iftitah, 30 hazaar...

Europe ki sab se badi aur Khoobsurat masjid ka iftitah, 30 hazaar se zayed musalliyoun ki gunjaish

Moscow : Ek janib jahan duniya bhar mein islam aur musalmanoun ke khilaaf sazishain horahee hain to doosri janib un hi mumalik mein Allah ke gharon ka taamer bhi horahee hai jahan islam aur musalmanoun ko nuqsaan pohachane ke mansoobay banaye jarahay hain isi douran Chechnya  mein Europe ki sab se badi masjid ka iftitah kardiya gaya.

Bartanwi khabar rasan idaray ki report ke mutabiq roos ke wifaqi ilaqay chechnya mein intizamia neh ek masjid ka iftitah kiya , jisay Europe ki sab se badi masjid kaha ja raha hai. masjid ki iftitahi taqreeb mein badi tadaad mein muqami aur berooni hukkaam neh shirkat ki. safaid marble se bani is khobsorat masjid ka naam hazrat محمدﷺ ke ism-e-mubarak par rakha gaya hai aur is mein 30 hazaar se zayed namaziyoun ki gunjaish hai.

Chechnya intizamia is masjid ko Europe mein sab se badi aur sab se khoobsurat masjid qarar dey rahi hai. is mauqa par munaqidah taqreeb mein roosi saddar vladimir putin ke saathi chichn sarbarah Ramzan Kadyrov neh kaha ke yeh masjid apne design mein munfarid aur apne size aur khubsurti mein shahana hai. khayaal rahay ke yeh masjid Chechnya  mein Shahali ke ilaqay mein taamer ki gayi hai, jo dar-ul-hakoomat Grozny  ke bahar 54 hazaar logon par mushtamil ilaqa hai. muqami intizamia neh kaha hai ke masjid ke sehan mein phoolon aur aabi fawara lagaya gaya hai aur is jagah par izafi 70 hazaar namazi aasakte hain.

Mashriq wasti ke ek akhbar The National ke mutabiq is 9 hazaar 7 so murabba meter par mojood is masjid ko ek Uzbak architect neh design kiya . is masjid ki iftitahi taqreeb mein senior hukkaam neh shirkat ki jis mein Kuwaiti ameeri dewan ke musheer aur chairman international Islamic charitable organization ( IIOC ) Dr Abdullah bhi mojood they. Ramzan Kadyrov ko 2007 mein muslim aksariyati ilaqay mein hukmarani ke liye muqarrar kiya  gaya tha, jis ke baad se woh Chechnya  mein islam ki bahaali aur masajid ki taamer mein masroof hain.

2008 mein unhon neh Grozny mein 10 hazaar namaziyon ki gunjaish rakhnay wali masjid Chechnya ka dil ka iftitah kiya  tha. –YTN STAFF