Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaEsmatraizi muqadma, BJP leader Tripathi ko Clean Chit, Mutasirah khatoon mayoos

Esmatraizi muqadma, BJP leader Tripathi ko Clean Chit, Mutasirah khatoon mayoos

Lucknow: Uttar Pradesh police ne hafta ko BJP ke rukan Assembly Ravindranath Tripathi aur un ke 4 bitoun ko Clean Chit dedi jin ke khilaaf ijtimai esmatraizi ke muamlay mein muqadma darj tha. BJP MLA ke bhatije Sandeep Tiwari ko giraftar kiya gaya tha jo is muqadma ka markazi mulzim tha. MLA ke ek betay, Nitish par tazirat hind ki dafaa 504 ( jaan boojh kar tauheen ) aur 506 ( mujremana dhamki ) ke tehat ilzaam aed kiya gaya tha.

MLA aur is ke 5 bitoun Sachin, Chandrabhushan, Deepak, Prakash aur Nitesh ke khilaaf charshumbe ko ek 35 sala khatoon ki esmatraizi karne ke ilzaam mein FIR darj ki gayi thi. Bhadohi ke Police Superintendent ( SP ) Ram Badan Singh ne media se guftagu karte huve kaha hamein markazi mulzim Sandeep ke khilaaf sirf shawahid miley hain. MLA aur kumba ke deegar afraad ke khilaaf koi saboot nahi mila.

Police ke bayan par radd e amal ka izhaar karte huve khatoon ne kaha ke Police BJP ke rukan Assembly ki hifazat kar rahi hai kyunkay wo hukmaran jamaat ka rukan hai. Ye insaaf nahi hai. Tamam mulzimaan ko Jail mein hona chahiye. Unhoun ne sirf Sandeep ko hi kyun giraftar kiya hai? Harasan karne mein tamam saat afraad shaamil they. Mein adalat mein is na-insafi ke khilaaf ladhongi.

Un ke wakeel Ajit Srivastava ne bhi kaha ke wo Police ki karwai ke khilaaf adalat se rujoo karen ge. Unhoun ne kaha, Wo FIR mein mazkoor 7 mulzimaan mein se 5 ko clean chit kaisay de satke hain. Taham Bhadohi Kotwali Police Inspector Shreekant Rai ne kaha ke wo khatoon tibbi muanay ke liye raazi nahi hai. Unhoun ne kaha ke ye maamla 2017 ka hai aur ab muaina ki zaroorat kya thi. –YTN STAFF