Friday, April 26, 2024
HomeEntertainmentErtugul Ghazi ki adakara chai peenay Pakistan ke safar ki khawahan

Ertugul Ghazi ki adakara chai peenay Pakistan ke safar ki khawahan

Istanbul: Shahrah Afaq turkey ke Series Dirilis Ertugul mein Bano cheechak khatoon ka kirdaar ada karne wali Turkey adakara Izgi Isma Pakistani chaaye ki shoqeen hain. Haal hi mein ek Interview mein Izgi ne kaha ke wo jald Pakistan anay ka iradah rakhti hain, Unhoun ne kaha ke wo Pakistan ayengi to yahan ki chaaye zaroor piyengi. Interview ke douran Izki ne Urdu ka istemaal bhi kiya, Unhoun ne Pakistani madahoun se Urdu mein poocha ke jab mein Pakistan aaongi to kiya wo mujhe chaaye pilainge?

Izgi ne kaha ke wo Pakistan ke logoun aur is ki saqafat se bohat mohabbat karti hain, Pakistan aur Turkey ke awam bilkul ek jaisay hain. Adakara ne kaha ke inhen Pakistani madahoun ke mohabbat bharay paighamaat masool ho rahay hain jis ke liye wo teh dil se shukar guzaar hain. Unhoun ne kaha ke mujhe kayi aitebaar se Pakistan bilkul Turkey jaissa lagta hai, Is liye ye kehna ghalat nah hoga ke hum 2 mukhtalif mulk honay ke bawajood ek qoum hain. Wazeh rahay ke Izgi ne Shahrah Afaq Turk series Dirilis Ertugul mein Musalman sipah salaar Ertugul ke qareebi saathi Dokanbe ki ahliya Banu Cheechak khatoon ka kirdar aada kiya. –YTN STAFF