Monday, May 20, 2024
HomeTrending NewsErdogan aindah intikhabaat mein shikast se dochar honge: Sabiq wazeer

Erdogan aindah intikhabaat mein shikast se dochar honge: Sabiq wazeer

Istanbul: Turkey ke sadar Rajab Tayyab Erdogan aur un ki haleef dayen baazu ki jamaat National Movement ke sarbarah Dolat Behjli abhi tak kuch arsa qabal tashkeel panay wali 2 siyasi jamaatoun ko aindah honay walay kisi bhi intikhabaat mein shareek honay se roknay ke liye sargaram hain. Taham ye dono shaksiaat ab tak is maqsad mein kamyaab nahi ho saki hain. Is ki wajah ye hai ke bohat se arkaane parliament anay walay waqt mein mazkoorah dono jamaatoun mein shamoliat ikhtiyar karen ge. Un arkaan mein Erdogan ki hukmaran jamaat justice and development party ke darjanoun arkaan shaamil hain. Is silsilay mein Turkey ke ek sabiq wazeer aur Opposition ki Republican peoples party ke rukan Yashar Okuyan ney kaha hai ke Erdogan ki hukmaran jamaat se talluq rakhnay walay mutadid arkaan parliment party ke andar mojood soorat e haal se nakhush hain. Isi wajah se wo sabiq wazeer e azam Ali Babacan ke zair qayadat Democrace and progress party mein shamoliat ikhtiyar kar lenge. Ali Babacan ne hukum raan jamaat justice and development party se mustafi honay ke kayi mah baad rawan saal 11 March ko apni nai jamaat ke qiyam ka elaan kiya tha. Ali Babacan se qabal sabiq wazeer e azam Ahmet Davutoğlu bhi hukmaran jamaat se mustafi honay ke kayi mah baad ek nai jamaat ki tasees ka elaan kar chuke hain. Is jamaat ko unhoun ney future party ka naam diya hai. Turkey ke mehnat aur samaji umoor ke sabiq wazeer Yashar Okuyan ne kaha ke Davutoğlu aur Ali Babacan Erdogan ki jamaat ki maqboliat kam karne mein bada kirdaar ada karenge. Dono shaksiaat hi Erdogan ki jamaat ki tasees ke waqt se shaamil they aur dono ne hi ahem munsiboun par apni zimmay dariyan anjaam den. Un mein wazeer e azam, Naib sadar, wazeer kharja aur wazeer khazana ke ohday shaamil hain. Okuyan ke mutabiq Davutoğlu ney mulk ke 64 shehroun mein apni jamaat ko munazzam kar liya hai. Isi terhan Ali Babacan bhi sargaram amal hain aur wo bhi intikhabaat mein shirkat ke liye matlooba sharait poori kar lenge. –YTN STAFF