Saturday, May 4, 2024
HomeSliderEngland ki Series Hindustan mein karwana pehli tarjeeh: Ganguly

England ki Series Hindustan mein karwana pehli tarjeeh: Ganguly

Dubai: Hindustan Cricket Control Board ( BCCI ) ke sadar Sourav Ganguly ne kaha hai ke Hindustani Team ki England ke sath Hindustan mein Series munaqqid hona Board ki awleen tarjeeh hai. Ganguly ne kaha ke woh coronavirus ke phelnay ke bawajood aglay saal January aur March mein England ke khilaaf series ku Hindustan mein munaqed karwane ke liye har mumkin koshish karen ge. Unhoun ne kaha ke Board ki tarjeeh Hindustan mein yeh series karwana hai aur woh is ke liye poori koshish karen ge. Taham Mutahidda Arab Emarat ( UAE ) ka faida yeh hai ke is ke Abu Dhabi, Sharjah aur Dubai mein 3 maidan hain.

Qiyaas aaraiyan ki jarahi hain ke corona ki wajah se England ke sath Hindustan ki series aur aglay saal ke IPL UAE mein kheli ja sakti hai. BCCI ne Matches ke ineqad ke liye Emarat Cricket Board ke sath haal hi mein ek MOU par dastakhat kiye. Ganguly ne kaha ke hamaray paas Mumbai mein UAE jaisi sahoolat bhi hain. Brabourne, wankhede stadium aur DY Patil Stadium Mumbai mein hain. Is ke ilawa Kalkata ka Eden garden hai. Hum Hindustan mein Cricket ka aghaz karna chahtay hain jahan cricket ka dil hai. Lekin hum corona ki sorat-e-haal ka jaiza le rahay hain.

Unhoun ne kaha ke ab sab kuch mukhtalif hai aur pichlle 6 mah se sab kuch theek rakhna mushkil hai. Har ek ki khwahish hai ke yahan cricket shuru ho aur aam zindagi ka aaghaz ho lekin aap ku corona ki sorat-e-haal par bhi nigah rakhni hogi. Aam halaat mein Hindustan mein gharelo season ki shuruvaat hoti. 2019-20 ke season mein BCCI ne mardon aur khawateen ke mukhtalif omer groups mein 2036 home Matches ka ineqad kiya. Lekin corona ko dekhte hue mulk bhar mein bohat saari teamon ke liye Biosecure protocol banana mumkin nahi hai. Abhi tak gharelo season ki tarikhon ka elaan nahi kiya gaya hai aur is baar season kaafi kam ho sakta hai. Ganguly ne kaha ke hum sorat-e-haal ka jaiza le rahay hain. Hum chahtay hain ke gharelo season ka aaghaz ho. Hamaray paas bhi tamam ikhtiyarat aur halaat zehen mein hain. Hum koshish karen ge ke usay jald se jald anjaam diya jaye.