Saturday, May 4, 2024
HomeSliderEngland ki 2021 mein maizbani, Hindostan ehad ka paband: Ganguly

England ki 2021 mein maizbani, Hindostan ehad ka paband: Ganguly

New Delhi: Corona ki wajah se is waqt Cricket ke kayi Tournament ghair yakeeni halaat ka shikaar hain lekin Hindostan aindah saal England ki 2021 maizbani ke liye pur azm hai. BCCI ke sadar Sourav Ganguly ny reyasti anjmnon ko likha hai ke board mustaqbil ke tour Programmes ko mukammal karna chahta hai aur aglay saal Feb mein England ki maizbani ke liye pur azm hai. Ganguly ny kaha ke board is saal ke aakhir mein hindustani team ke dora Australia sameit team ke aindah tour schedule ke liye pur azm hai jabkay board khawateen ki team aur Domestic cricket ke liye ghor kar raha hai.

Ganguly ny khat mein kaha ke senior men team rawan saal decemeber mein Australia ke khilaaf series ke liye jaye gi aur wahan se wapsi par aglay saal feb mein England ke khilaaf home series khailay gi. Khawateen ki team ke doray par bhi baat cheet jari hai aur is silsilay mein mazeed tafseelaat shaya ki jayen gi. Hindostan ku agle saal T20 World Cup aur 2023 mein One Day ki maizbani karni hai jis ki tasdeeq pehlay hi hochuki hai. Aindah tour ke mutabiq hindostan rawan saal ke aakhir mein Australia ka dora kere ga aur Feb 2021 mein World test Championship ke tehat England ki maizbani karega.

Ganguly ne kaha ke ye dora schedule ke mutabiq kiya jaye ga. Taham March mein Afghanistan ke sath teen One Day series ke baaray mein kuch nahi kaha gaya hai. Ye silsila future tour programme ka bhi ek hissa hai. IPL ka 14 wahn season April mein khela jaye ga. Saal 2021 hindustani cricket ke liye masroof amal honay ja raha hai kyunkay hindostan ke paas october taa November mein T20 world cup bhi hoga aur team kayi mumalik ke sath series khail sakti hai taakay wo corona se honay walay nuqsaan ko pora kar sakay. Coronavirus ki wajah se England ne rawan saal September-October mein hindustani dora multawi kardiya. Dono teamon ke darmiyan September. October mein 3 one Day aur 3 T20 muqablon ki series khilni thi.

Ab ye silsila 2021 ke awail mein hoga. England ki team aglay saal ke shuru mein hindostan ka dora kere gi. One Day ke ilawa England bhi is tour mein test Championship ke tehat hindostan ke khilaaf 5 Matches series khailay ga. Taham abhi tak is ke schedule ko hatmi shakal nahi di gayi hai. Doosri janib hindostan aur Australia ke mabain rawan saal 3 decemeber se 4 matches ki test series kheli jaye gi. Pehla match Brisbane mein khela jaye ga.

Hindustani team apna pehla day night test beron mulk Adelaide mein 11 decemeber ko khailay gi. Corona ki wajah se hindustani team ke khiladion ko tour ke douran 14 din tak khod ko Quarantine mein rakhna pade ga. Lehaza team November ke dosray haftay mein Australia jaye gi. Ganguly nay mazeed kaha ke BCCI ko umeed hai ke aindah chand mahino mein Covid-19 mein behtari aaye gi aur ye ke Domestic cricket mehfooz mahol mein shuru ho sakay gi.