Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsEncounter mein halaak esmatdarri ke mulzemien ki aakhri rasomaat ke liye lawahiqeen...

Encounter mein halaak esmatdarri ke mulzemien ki aakhri rasomaat ke liye lawahiqeen ko karna hoga intzaar

Hyderabad: 25 sala khatoon veterinary Dr ki ijtimai esmatdarri aur qatal ke muamlay mein maaray gaye mulzimoun ke ahal khanah ko un ki aakhri rasomaat ada karne ke liye abhi aur intzaar kar na pade ga, kyun kay lashain Telangana high court ki hidaayat mehfooz kiye gaye hain. Adalat ne jummay ki der raat hungami samaat mein hakkaam ko 9 Decemeber tak laashoun ko mehfooz rakhnay ki hidaayat ki. Chief Justice RS Chauhan, Mukhtalif groupon ke zareya, Police ke hathoun mulzimon ke Encounter ki jame tehqiqaat ka mutalba karte hue dayar ki gayi darkhwast ki samaat karen ge.

Encounter mein maaray gaye 4 mulzimon ki laashoun ko Postmortem ke baad, Jummay ke shab mehboob Nagar ke ek sarkari hospital ke Marchery mein rakha gaya hai. Hospital ke ihatay mein Security ke wasee intizamaat kiye gaye hain. Police ne musallah ehalkaroun ko tainaat kiya hai aur sadkoun par Barricades laga lagaye gaye hain.

National human Rights Commission ( NHRC) ki ek haqayiq talaash karne wali team ( Fact Finding Team ) ne hafta ko hospital jaakar laashoun ko dekha. Aur imkaan hai ke wo mutaliqa hakkaam aur forensic mahireen se tafseelaat akhatta karen ge.

NHRC ke doray ke baad, Laashoun ko Hyderabad ke Gandhi hospital muntakil kiya ja sakta hai, Kyun kay Mehboob Nagar hospital mein laashoun ko taweel arsay tak mehfooz rakhnay ke liye sahuliyaat ka fuqdaan hai. Maqtuleen ke ahal khanah laashoun ke husool ke liye hospital mein muntazir they. Jab high court ne hakkaam ko hidaayat ki ke wo peer tak laashoun ko mehfooz rakhen. Adalat ne postmortem ki video Graphy karne ki bhi hidaayat ki hai.

Advocate General BS Prasad ne high court ko bataya ke Hyderabad ke Gandhi hospital ke forensic mahireen ki ek team nePostmortem kiya aur is saaray amal ki video graphy ki gayi hai. Adalat ne hedayat ki ke wo video Mehboob Nagar ke zilai judge ke hawalay ki jaye, Jo usay Bench ke hawalay kar den ge. –YTN STAFF