Friday, May 17, 2024
HomeIndiaEmthehaan ke nizaam ko khatam kiya jaye. SDPI ( NEET )

Emthehaan ke nizaam ko khatam kiya jaye. SDPI ( NEET )

New Delhi: Social Democratic Party Of India ( SDPI ) ke qaumi naib sadar Dehlan Baqavi neh apne jari kardah akhbaari aalamia mein kaha hai ke ( NEET ) emthehaan ek rajat pasandana iqdaam hai jis se ghareeb talba ki medical taleem haasil karne ki arzoo ko barbaad kardiya jata hai. Medical taleem ke husool ke liye NEET imtehanaat ke aaghaz ke baad se pooray Hindostan ke dihaton se talluq rakhnay walay ghareeb talba ke medical professional ban’nay ke khawab nah sirf bikhar rahay hain, Balkay yeh professional un ke liye na qabil rasai hadaf bhi ban chuke hain . Aisa lagta hai ke NEET ek harf tadbeer hai ke is se sirf muashi pas manzar ke haamil Alla tabqay ke talba ko tibbi taleem faraham ki jani hai aur usay Corporate kiya ja raha hai. Meyaari medical education ki aadd mein hukoomat ghareebon ko medical taleem se inkaar kar rahi hai. Sirf maali tor par gareeb mustahakam talba hi NEET ke liye mehangay coaching haasil kar saktay hain.

Markazi hukoomat ka mansoobah Corporative ki himayat karna hai aur kamzor muashi pas manzar se anay walay talba hamza ke liye hukoomat ke paas koi falahi iqdamaat nahi hain. NEET aur JEE dakhila imtehanaat ke liye markazi BJP hukoomat nay naye qawaid-o-zawabit bana kar dehaat aur qabaili ilaaqon ke ghareeb aur mahroom logon ko tibbi taleem haasil karne se rokkk rahi hai. Taleem mein is terhan ke naye police lakar BJP hukoomat taleem aur Reservation ki wajah se taraqqi pazeer honay walay pasmandah logon ke mawaqay par qabza karliya hai. NEET dakhila imtehanaat nafiz karkay inhen dobarah ghulam banaya ja raha hai. Mehez dakhila imtehanaat ke zareya talba ki ahliat aur qabliyat ka taayun nahi kiya ja sakta hai. Is saal NEET ke dakhilay imtehanaat ke khilaaf mutadid reyaston nay shadeed muzahmat ki hai. Yeh bohat hi dukh ki baat hai ke Tamil Nado se talluq rakhnay walay 3 talba nay NEET imthehaan mein shirkat ke khauf se apni zindagi khatam karli hai. Yeh ghhor talabb amal hai ke Tamil Nado mein agarchay behtareen taleemi Infrastructure aur Hindostan mein medical colleges ki sab se ziyada tadaad mojood hai.

NEET imthehaan ke khauf ki wajah se Tamil Nado mein musalsal mutadid khodkhshiyon ke waqeat samnay aarahay hain. Tamil Nado ke talba ki khudkushi ke peechay bohat se wajohaat hain jin mein gurbat, Zehni tanao, Khauf, NEET emthanat ke mukhtalif namonon ka samnay karne mein dushwari, Taleem ke masawi mawaqay ka fuqdaan aur maali mawaqay ki kami ahem wajohaat hain. Jab ‫UPA ki hukoomat iqtidaar mein thi to Tamil Nado ko NEET emthanat se mustashna kardiya gaya tha. Jab se markaz mein BJP hukoomat aayi hai Tamil Nado par NEET musallat kar di gayi hai. Tamil Nado mein NEET ke nifaz ke baad se ab taq 13 talba neh khudkushi ki hai. Markazi aur reyasti hukoomat ko un amwaat ke liye zimma daar tehraya jana chahiye. Tamil Nado mein NEET emtehanaat ke taaruf se pehlay talba ko un ke school ke final emthanat mein haasil kardah number ki bunyaad par medical samait tamam aala taleem ke liye muntakhib kiya jata tha, Jis se dehaat ke sarkari school mein padhnay walay talba bhi medical science samait aala taleem haasil karne ke qabil ban gaye they. Is nizaam ke zareya tamam talba jis mein ameer aur ghareeb shaamil they alla taleem haasil karne ke mawaqay haasil they aur is se samaji insaaf qaim tha. Isi wajah se Tamil Nado medical science samait alla taleem ke liye behtareen riyasat samjha jata hai.

SDPI qaumi naib sadar Dehlan Baqavi nay mazeed kaha hai ke NEET imthehaan ke aaghaz ke baad se gaon ke schools ke ghareeb aur taleemi tor par pasmandah talba ke liye tibbi taleem haasil karna bohat mushkil hogaya hai. State Board Schools mein sab se ziyada number haasil karne walay talba ko NEET mein dakhilay ke liye mushkilaat ka saamna karna padta hai, Jo ( cbse ) nisaab ki bunyaad par kiya jata hai, Isi wajah se talba zehni aziat ke shikaar hain. Hindostan ki har riyasat ki shafaqat, Zabaan, Tarz zindagi aur har riyasat ka seekhnay ka mahol ek dosray se mukhtalif hai. Reyaston ke halaat ke mutabiq taleem ki farahmi hukoomat ka farz hai. Har riyasat nay apni safaqati aur lasani hesiyat ke mutabiq taleemi nizaam aur nisaab tarteeb diya hai aur talba is ke aadi hain. Hindostan ke janoobi reastain Tamil Nado Kerala aur Karnataka aur shumal mashriqi reyaston nay apne taleemi Infrastructure mein taraqqi ki hai. Isi douran mutadid shumali reyasatain bashmool Uttar Pradesh aur baher taleemi Infrastructure mein pasmandah hain. Is terhan ki taleemi tor par pasmandah reyaston ki taraqqi ke bajaye, Markazi hukoomat ka janoobi reyaston ke taleemi umoor mein mudakhilat karna aur is terhan ke sakht dakhila imtehanaat musallat karkay un ke taleemi haqooq par qabza karna munasib aur qabil qubool nahi hai.

Markazi hukoomat ka’ ek qoum ek taleemi nizaam, Ek dakhila imthehaan’ ka nazriya hindustani wifaqi dhanchay ke liye nuqsaan da hai, Kyunkay is terhan ka nazriya reyaston ke mabain dushmani peda kere ga. Taleem ki taraqqi sirf taleemi Infrastructure ki taamer se hi mumkin hai, Nah ke dakhila imtehanaat musallat karkay, Markazi hukoomat neh jald baazi mein jo qaumi taleemi policy muta-arif karai hai is mein taleem ke miyaar ko badhaane par tavajja nahi di gayi hai. Lehaza Medical Education ke liye NEET samiat aala taleem ke dakhilay imtehanaat ke nizaam ko khatam kiya jana chahiye. Markazi hukoomat mulk ke wifaqi dhanchay ke tahaffuz ke liye reyaston ke taleemi umoor mein mudakhilat band karna chahiye aur ghair taraqqi yafta reyaston ko un ke taleemi dhanchay ki taraqqi ke liye ahmiyat dainee chahiye. Markazi hukoomat reyaston ki abadi ke tanasub ke mutabiq munasib tadaad mein taleemi idaray qaim karne aur 0 dakhila emthanat ke nizaam ko khatam karne ke liye agay aana chahiye. SDPI qaumi naib sadar Dehlan Baqavi nay zoor diya hai ke reyaston se qata nazar tamam Hindostanyon ko yak jit hokar is taleem ke Corporatism ke khilaaf aawaz uthani chahiye.