Sunday, April 20, 2025
HomeSliderEmirates aur Itehaad Airlines ka parwazein bahaal karne ka elaan

Emirates aur Itehaad Airlines ka parwazein bahaal karne ka elaan

Dubai: UAE ki fazai companiyon Emirates Airlines aur Itehad Airlines ne duniya ke mukhtalif mumalik ke liye Transit flights dobarah shuru karne ka elaan kiya hai. Ye elaan hukoomat ki janib se Airports se transit parwazoun ki ijazat diye jaaane ke baad kiya gaya.

Emirates ne 29 maqamat ke liye Dubai ke rastay transit flights dobarah kholnay ka elaan kiya jabkay Itehad ne Europe , Asia aur Australia ke 20 shehroun ke liye flights ka elaan kiya hai. Tafselaat ke mutabiq Emirates Airlines ne kaha hai ke Pakistan ke 3 shehroun Karachi, Lahore aur Islamabad ke musafir 8 June se Emirates Airlines ke zariye Dubai se deegar maqamat par transit Flight Book karwa satke hain.

London Heathrow, Frankfort , Paris , Milan, Chicago, Toronto, Sydney, Melbourne aur Manila ke liye parwaze  11 June se dobarah shuru ho rahi hain. Emirates 15 June se mazeed 16 maqamat ke liye jin mein Bahrain, Manchester, Zurich, Amsterdam, Dublin, New York, Seoul, Kuala Lumpur, Singapore, Jakarta, Hang Kong, aur Brisbane shaamil hain wahan ke musafiroun ko transit sahoolat ke liye apni parwazein shuru keregi.

Emirates Airlines ka kehna hai UAE ke hukkaam ke sath mil kar kaam kar rahay hain taakay Dubai aur duniya ke mabain parwaazoun ki bahaali ka silsila marhala waar dobarah shuru ho sakay. Emirates ki sarkari khabar rasan agency VAM ke mutabiq UAE ki hukoomat ki janib se pehlay hi kaha tha ke Emarat ke Airports se transit parwazein dobarah shuru ki ja rahi hain. Khaliji riyasat mein coronavirus ke baais March 2020 se transit Flight ka silsila moattal tha.

Doosri taraf  Turkey bi June mein 40 ke qareeb mumalik ke sath parwazein dobarah shuru kar raha hai. Hukkaam ke mutabiq Turkey ne is hawalay se 15 mumalik ke sath bahami hawai safar ke muahiday bhi kar liye hain. Is ke ilawa Qatar bhi jald bain ul aqwami parwazein shuru karne ja raha hai. –YTN STAFF