Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderEmirates Airline Israel ke liye parwazein chalanay ko tayyar

Emirates Airline Israel ke liye parwazein chalanay ko tayyar

Dubai: Dubai ki Al-Emirate Emirates Airline Israel ke sath aman muahiday ke elaan ke baad musafir parwazein chalanay ko tayyar hai. Taham fi al-waqt wo is silsilay mein UAE aur Israel ke darmain shehri hawabazi ke shobay mein do tarfah taawun ka samjhota tay panay ki muntazir hai.

Emirates Airline ke Chief Operating Officer ( CEO ) Adel Al Redha neh ek Interview mein kaha hai ke ye do hukoomaton ke darmain ek moahida hai aur yakeeni tor par bohat se dosray shobay bhi hain jin mein is terhan ke maahdon mein faida uthaya jaye ga. Aviation un mein se ek markazi shoba hai. Israel ya UAE ya Dubai aur Tel Aviv ke darmain koi bhi parwaaz chalanay se qabal hamein ek samjhote ki zaroorat hogi.

Adel Al Redha neh kaha hai ke khittay mein tarfin ki janib se parwaazon ki bahaali ka mutalba samnay aaye ga. Mere khayaal mein dono mumalik ke darmain tijarat aur kaarobar ke bohat ziyada mawaqay dastyab hon ge. Media neh jab is silsilay mein Al-Emirata ke tarjuman se rabita kiya to unhoun neh kaha ke kisi bhi naye route par parwazein chalanay ke liye fazai traffic ke haqooq aur hukoomat ki manzoori ki zaroorat hogi.

Tarjuman nay kaha hai ke jab ye manzoori mil jaye gi aur shehri hawabazi ke shobay mein do tarfah moahida tey pajaye ga to Emarat parwazein shuru karne se mutaliq kisi bhi faislay se qabal market ki talabb aur mukhtalif Operational awamil ka jaiza le gi. Kisi nai jaye manzil ke liye parwazein chalanay se mutaliq fi al-waqt to hamaray paas koi elaan nahi hai.

Taham dono mulkon ke darmain abhi barah-e-raast parwazein chalanay ka elaan nahi kiya gaya hai. Dono mumalik ke shehrion aur sayaho ke liye parwazein chalanay ka programme majmoi muahiday ka hissa hai.

Israel neh ek roz qabal hi wazeh kiya hai ke UAE se anay walay sayaho ke Passports par mohar nahi lagey gi. Israeli wizarat kharja ke naib tarjuman neh media ko bataya ke Israel mein anay walay sayaho ke passports par bil umoom border control ( Aiirports ) par mohar nahi lagai jati hai balkay unhein ek card ke tor par majaz kaghaz ka tukda diya jata hai jis ko dikha kar wo mulk daakhil ho saktay hain.

Americi sadar Donald Trump nay Israel aur UAE ke darmiyan tareekhi aman muahiday ka elaan kiya tha. Is ke baad se dono mulkon ke darmiyan mamool ke taluqaat ki bahaali ke zimn mein numaya pesh raft hui hai. Is muahiday ke baad dono mulkon mein baaz shobo mein muahiday tay bhi hue hain. Un mein se ek dono mumalik coronavirus ki waba se nimatnay ke liye vaccine ki tayari mein ishtiraaq amal karen ge. Is ke ilawa UAE aur Israel ke darmiyan phone par rawabit bahaal ho chukay hain aur pehlay se band Websites khol di gayi hain.