Dubai: Emirates Air aur Fly Dubai nay apni parwaazon ke liye bain ul aqwami routs mein izafah kar diya hai. Dono fazai companiyon nay 96 Airports tak apni khidmaat ka daira wasee kar diya hai. Dono fazai companiyon nay July ke awail se ab tak apni parwaazon ke liye bain ul aqwami Airports ki tadaad mein 26 feesad izafah kiya hai.
Al Emirate akhbar ke mutabiq Emirates Air aur Fly Dubai ne bain ul aqwami Airports ki tadaad mein rafta rafta izafah kiya hai. Emirates Air ki janib se 72 jabkay Fly Dubai ne 24 bain ul aqwami Airports ke liye khidmaat ka daira wasee kiya. Emirates Air ne jin naye Airports ko apni parwazon ki fehrist mein shaamil kiya hai un mein Cebu shaamil hai. Emirates Air ne jumaraat ko yahan ek parwaaz bhaije. Emirates Air September mein 75 Airports ke liye parwazein chalaye gi. 23 August se Houston aur yakam September se Birmingham aur chaar September se haftay mein dobaar Warsa ke liye parwazein chalaye ge.
Emirates Air ke bamujab 7 October 2020 se Warsa ke liye parwazon ki tadaad teen ho jaye gi. Emirates Air Warsa sameit Europe ke 25 Airports ke liye parwazi bhaij rahi hai. Fly Dubai nay guzashta haftay Kazakhstan ke liye parwazon ki bahaali ka elaan kiya tha jabkay dhaka, Djibouti aur Kuwait ke liye bhi parwazein bahaal kar di gayi hain. Is terhan Fly Dubai 24 bain ul aqwami Airports ke liye parwazein chalanay lagi hai.