Saturday, May 18, 2024
HomeSliderEmarat par 1 lakh cyber hamlay, Mahana report mein inkishaaf

Emarat par 1 lakh cyber hamlay, Mahana report mein inkishaaf

Dubai: UAE mein Communication Commission ne elaan kiya hai ke June 2020 ke douran wifaqi hukoomat ke matehat Websites par 1 lakh ke lag bhag cyber hamlay kiye gaye, Computer Emergency National Team ne bar waqat karwai karkay saaray hamlay nakaam bana diye.

Emarat ke khabar-rasan idaray WAM ke mutabiq Emarati Communication Commission ne June se mutaliq Cyber Security ki karkardagi par mahana report jari ki hai. Communication Commission ne kaha hai ke cyber hamlay mukhtalif terhan ke they. 73 feesad ka talluq intahi fun karana programming se tha jabkay 15 feesad cyber hamlay security khaami se faida uthany ke liye kiye gaye aur 12 feesad hamloun ka hadaf kisi bhi nagehani ghalti se najaaiz faida uthany ka tha.

Taak mein baithy hue thay ke jaisay hi inhen hamlay ka mauqa miley foran hi targets ko nishana banalya jaye ga. Emarati communication commission ne kaha hai ke hamari team ne 407 cyber security waqeat ko sahih rukh day kar masla hal karliya.