Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsEmarat mein wazaratoun ki tanzeem no, Qalamdano mein tabdeeli

Emarat mein wazaratoun ki tanzeem no, Qalamdano mein tabdeeli

Dubai: UAE mein hakoomati pemanay par nai hikmat-e-amli ka elaan kiya gaya hai. Jis mein kayi wazaratoun ki tanzeem no ki gayi hai. Tafseelaat ke mutabiq hukoomat ki janib se maeeshat aur sanat ki wazaratoun mein naye ahdaaf ke sath ek saal ka waqt diya gaya hai. UAE ne is wasee hakoomati tanzeem no mein kayi hakoomati idaroun ko ek dosray mein zam kiya hai.

UAE ke wazeer e azam Sheikh Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ney official Twitter Account par elaan kardah tanzeem no mein Abdulallah Almheiri ko wazeer iqtisadiat muqarrar kiya hai. Abu Dhabi ki qaumi tail company ADNOC ke sarbarah Sultan Ahmed Al Jaber ko sanat aur advance technology ke mehakmay ka wazeer tainaat kiya gaya hai.

Tawanai aur bunyadi dhanchay ki wazaratoun ko bhi zam kiya gaya hai aur is ki sarbarahi mojooda wazeer tawanai Suhail Al Mazroui karen ge. UAE ke naib sadar Sheikh Mohammad Rashid Al Maktoum neh guzashta mah tanzeem no ke mansoobon ka elaan pehli baar kiya tha aur usay coronavirus ke asraat se nimatnay mein madad karne mein ahem qarar diya tha.

Un tabdeelioun se sarkari khidmaat ke adhay marakaz ko 2 baras ke arsay mein digital tareeqay se kaam karne mein tabdeel karna aur adhay ke qareeb wifaqi agencies ko ek dosray ke sath ya wazaratoun mein zam karna shaamil hain.

Dubai ke hukmaran aur UAE ke naib sadar Sheikh Mohammad Bin Rashid ney ye bhi kaha hai ke un tabdeelion se hakoomati idaron mein mazeed zimma daari aur faisla saazi mein taizi aeyegi.