Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsEmarat mein tarikeen ki wapsi ka aaghaz

Emarat mein tarikeen ki wapsi ka aaghaz

Dubai: UAE ne beron mulk muqeem tarikeen ki wapsi ke liye ijazat naame ki shart khatam kar di hai jis ke baad beron mumulk mojood afraad ki wapsi ki raah hamwar hui hai. Emarat ne kaha hai ke aindah beron mulk mojood muqeem ghair mulki ijazat nama haasil kiye baghair wapas aasakte hain. Wapsi ke liye ijazat naame ke liye darkhwast pesh karna zurori nahi. Ye sahoolat Emarat ki tamam reyaston ke liye hogi.

Emarat Al Youm ke mutabiq Emarati mehakma shehriat-o-qomiat ny kaha ke wapsi ke ijazat naame ki shart aala qayadat ke hukum par mansookh kar di gayi. 12 August 2020 se amal shuru kardiya gaya. Ye sahoolat aisay waqt mein di gayi hai jabkay taleemi idaron ki mausam garma ki tatilat khatam honay wali hain. Mulk mein mukhtalif tijarti sargarmia bahaal hochuki hain jabkay samaji aur khidmaat pesh karne walay idaray khole jarahay hain.

Mehakma shehriat-o-qomiat ne baher se UAE wapas anay walay ghair mulkion ke liye 7 iqdamaat zurori qarar diye hain. Shanakhti maloomat, Passport aur shehriat se mutaliq maloomat Website par update karana. Registered laboratory se corona test karana aur safar se 96 ghantay qabal test ka nateeja haasil karna wapsi ka ticket book karwana, Virus se pak certificate fazai company ko pesh karna. Emarat pounchanay par laboratory test karwana. House Isolation App download karna. Muqarara ayyaam ke douran ghar mein tanhai ikhtiyar karna.

Emarati mehakmay ne muqeem ghair mulkion ko mahswara diya ke wo shanakhti card, Passport aur shehriat se mutaliq kawaif Link Website par update karwalin. Emarati mehakmay ne bayan mein mazeed kaha ke jo loog wapsi ka ijazat nama haasil kiye hue hain un ke liye Private Data update karwana zurori nahi hai.