Monday, April 21, 2025
HomeSliderEmarat mein School Bus khidmaat moattal

Emarat mein School Bus khidmaat moattal

Dubai: UAE Emarat ke shumali ilaqon mein qaim khangi School mein talba ko, Coronavirus lagnay se bachney aur dosaron ko virus se bachanay ke liye Bus Service mukammal tor par band kar di aur talba ko School laane le jaany ki zimma daari un ke sarparaston ke hawalay kardi.

Tafseelaat ke mutabiq khangi schools ke muntazmeen ne talba ke sarparaston se kaha hai ke naye taleemi saal ke douran talba ko School laane le jaaney ka zimma daar school nahi hoga. Ijtimai transport se safar ki soorat mein talba ko, Covid-19 se tahaffuz faraham karna bada dushwaar kaam hai talba ko school pohancha nay aur wahan se ghar le jaaney ka intizam sarparast hi Karin. Khud layen le jayen ya Private transport ka intizam apne tor par karen.

Mutadid khangi Schools neh faisla kiya hai ke amsal wo tamam talba ko school Bus khidmaat faraham nahi kar saktay lekin 30 feesad hi is school transport muhayya kar saken ge kyunkay Buses mein samaji faaslay ki soorat mein is se ziyada talba ko transport muhayya nahi ki jasakti. Yaad rahay ke Emarat ki wizarat taleem neh hidayat jari ki hai ke School Bus mein is ki gunjaish ka sirf 30 feesad hissa hi talba ko laane le jaany mein istemaal kiya jaye. ye pabandi coronavirus se bachao ke liye lagai gayi hai.

Sharjah mein Al Kamal American American School ki Principal Fatima Abbu Moose ney kaha hai ke hamara school wizarat taleem ki jari kardah hidayat ka paband hai. School Buses ka sirf 30 feesad hissa hi istemaal kiya ja sakta hai Sharjah American School ki Vice Principal Sarhan ney wazeh kiya ke ek Bus se sirf 10 talba hi safar kar saken ge. Is se ziyada ki ijazat nahi. Mazeed Buses ka intizam hamaray bas se baher hai.