Saturday, June 1, 2024
HomeTrending NewsEmarat mein sarkari dafatir itwaar se khul jayenge

Emarat mein sarkari dafatir itwaar se khul jayenge

Dubai: UAE mein wazarten, Sarkari idaray aur mehakma itwaar se khul jayenge lekin sirf 30 feesad mulazmeen duty karenge. Emarati news agency WAM ke mutabiq federal hukoomat ne kaha hai ke sarkari idaroun ke mulazimeen ki marhala waar wapsi hogi. Hukoomat ne kaha hai ke jin mulazmeen ko pehlay dafatir anay se istashna diya gaya tha, Inhen ab bhi istashna hoga, Wo ghar se kaam karte raha karenge. Jin mulazimeen ko ab bhi ghar se kaam karne ki ijazat hai un mein haamla khawateen, Mazoor afraad, Wo mulazimeen jin ka mudafati nizaam kamzor hai, Wo mulazimeen jo mustaqil bimarioun mein mubtala hain aur wo jinhein maamar kaha jata hai.

Hukoomat ne kaha hai ke aisay khawateen jin ke bachoun ki umrein 9 saal se kam hain aur jinhein nighdasht ki zaroorat hai ya jin ke bachay bemaar ya mazoor hain inhen bhi ghar se kaam karne ki ijazat hai. Tamam sarkari idaroun mein mulazimeen ki kul tadaad ke hisaab se sirf 30 feesad ko duty par bulaya jayega, Baqi ghar se kaam karte rahenge, Ye sharah waqt ke sath badhhadi jayengi. –YTN STAFF