Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsEmarat mein pehlay hi din 70 feesad kaarobar

Emarat mein pehlay hi din 70 feesad kaarobar

Dubai: Dubai mein 27 May se tijarti aur iqtisadi marakaz khul gaye jahan 70 feesad tak kaarobar dekhnay mein aaya hai. Tafseelaat ke mutabiq mehakma iqtesad ne hukumnamah jari karkay hidayat ki thi ke tijarti aur iqtisadi marakaz ibtida mein 70 feesad se ziyada mulazmeen ko Duty par nah bulaaye aur tijarti o iqtisadi marakaz ka 70 feesad hissa hi istemaal mein laye.

Dubai mehakma iqtesad ne mazeed kaha ke Shopping centers aur retail ke dukandaar apni sahoolat ko dekh kar kaarobar ke liye waqt ka intikhab karen. Subah 6 bajey se raat 10 tak ke douran kisi bhi waqt tijarti marakaz aur retail ki dukanain khol satke hain taham shopping centers ki 30 feesad parking mustakil bunyadoun par band rakhna hogi.

Dubai mehakma iqtesad ne khanay peenay ki ashya farokht karne wali dukanoun aur Restaurant ko kaarobar ki ijazat di hai lekin inhen musalsal safai, Sanitizing aur samaji faaslay ka paband bhi banadiya hai. Mehakmay ne hukum diya hai ke Restaurant mein Tables ke darmain faasla 2 meter ka rakha jaye. Ek table se dosray table ke darmain partition banaya jaye aur home delivery service ko tarjeeh di jaye.

Yaad rahay ke iqtisadi sar garmioun ki bahaali ka faisla Emarat ke naib sadar aur Dubai ke haakim Ala Sheikh Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ne mulk mein qudrati afaat aur bohranoun ki aala committee ke ijlaas ke douran kiya tha.

Faislay mein ye bhi kaha gaya tha ke tamam sarkari mehakmoun aur qanoon nafiz karne walay idaray mukhtalif iqtisadi sar garmioun, Baazaaroun aur idaroun se hifazati tadabeer ki pabandi karayen. Yaad rahay ke subah 6 bajey se raat 10 tak iqtisadi sar garmioun ki ijazat di gayi hai jabkay raat 11 se subah 6 bajey tak pabandiyan barqarar rahengi. –YTN STAFF