Sunday, May 11, 2025
HomeSliderEmarat mein khawateen ke liye saahil faraham kardiya gaya

Emarat mein khawateen ke liye saahil faraham kardiya gaya

Abu Dhabi: Mutahidda Arab Emarat mein khawateen ke liye ek aur sahoolat faraham kardi gayi hai jaissa ke UAE ke ek shehar mein khaas khawateen ke liye pehla saahil khoola gaya hai. Ye Al-Salah bandargaah ke qareeb waqay hai aur 18 hazaar 300 murabba Meter par phela huva hai. Abu Dhabi awaami khidmaat Company Musanada ne khawateen ke liye saahil ka mansoobah Al-Zafart baldeati Council ke taawun se nafiz kiya hai. Tafseelaat ke mutabiq Abu Dhabi ki Company Musanada ne wazeh kiya hai ke saahil ke liye 8 Emiratein taamer ki gayeen. Un ka majmoi raqba 790 murabba Meter hai. Un Emaartoun mein dafatir, Coastguards aur imdadi Teams ke marakaz qayem kiye gaye hain.

Car Parking, Waiting Room, Khawateen ke liye 2 istaqbalia Hall, Mukhtalif qisam ke Restaurant, Saahil anay wali khawateen ki dilchaspi ki ashya farokht karne wali dukanain aur arram o raahat faraham karne walay marakaz khole gaye hain. Abu Dhabi Company Musanada ke mutabiq saahil ka mansoobah bain ul aqwami miyaar par banaya gaya hai. Yahan khawateen ke liye aala tareen tafrehi sahulatoun ka intizam kiya gaya hai. Saahil ka mahol intahi sahet bakhash aur mehfooz hai. Yahan Privacy ka intahaa darjay khayaal rakha gaya hai. Emarat ke rivayet pasand muashray ke rasam o rivaaj ka lehaaz kiya gaya hai. Khawateen azaadi aur itminan se apna achaa waqt guzaar sakti hain. –YTN STAFF