Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsEmarat mein Eid aur deegar namazain ghar mein ada karne ki hidaayat

Emarat mein Eid aur deegar namazain ghar mein ada karne ki hidaayat

Dubai: UAE ke shehri aur muqeem ghair mulki afraad Eid Ul Adha aur 4 roza tatilat ke douran namazain Masajid ke bajaye gharoun mein ada karen ge. Emarati News Agency WAM ke mutabiq UAE ki National Emergency Crisis aur Disaster Management Authority ke tarjuman ney kaha hai ke soorat e haal ka jaiza lainay aur mutaliqa hukkaam se hum ahangi ke sath ye faisla kiya gaya hai ke Eid Ul Adha ki namaz ke liye Taqbere samii basri ( Audio Video ) zaraye se nashar ki jayen gi.

Tarjuman nay Video Press Conference mein kaha ke Masajid mein namazioun ki gunjaish badha kar 50 feesad kar di jaye gi taham namazioun ko badastoor 2 meter ke faaslay ki pabandi ke sath tamam ahteyati tadabeer par amal karna hoga. Unhoun nay mazeed kaha ke Azaan aur Namazoun ke darmain waqfa 10 minute tak badha diya jaye ga siwaye maghrib ki namaz ke jis mein azaan ke baad 5 minute ka waqfa hoga. Ye faislay 3 August se nafiz hon ge.

Tarjuman ne press conference mein khandani ijitmaat aur milnay julne se bhi guraiz ki zaroorat par zor diya aur kaha ke is ki jagah Electronic mawaslati zaraye istemaal ya phone par rabte kiye jayen. Isi terhan Eid ke tufe ya Eidee taqseem karne ke bajaye Electronic mutabadil zaraye istemaal karne ka mashwara diya.

Tarjuman ney mazeed kaha ke gharelo mulazmeen ke ghar se baher kisi se milnay par pabandi barqarar rahay gi. Yaad rahay ke Emarat nay pabandion mein narmi karte hue reyastoun mein paiir 20 July se namazyoun ke liye Shopping Malls aur deegar daftari Towers ke Hall aur makhsoos kamray dobarah khol diye they taham kaha gaya tha ke safoon mein munasib faaslay ke baad gunjaish 30 feesad namazyoun ke liye hogi.