Monday, October 14, 2024
HomeTrending NewsEmarat mein Coronavirus ke mareezoun ki tadaad 10 hazaar se tajawaz

Emarat mein Coronavirus ke mareezoun ki tadaad 10 hazaar se tajawaz

Dubai: Emarat ki wizarat sahet ne kaha hai ke Coronavirus ke mazeed 536 mamlaat samnay aeye hain aur mutasireen ki tadaad 10 hazaar se tajawaz kar gayi. Tafseelaat ke mutabiq Emarat mein Virus se 5 mazeed amwaat huven jis se Corona se marnay waloun ki tadaad 76 tak poanch gayi. Emarati wizarat sahet ke bamujab ke Coronavirus se mutasireen honay ka qabal az waqt pata laganay ke liye Corona Test ka daira wasee tar kardiya gaya hai. Is ke tehat mazeed 35 hazaar se ziyada afraad ka Test liya gaya. Corona ke 91 mareez sahet yab hogaye. Sahet yab honay walay afraad ki tadaad 1978 tak poanch gayi.

Doosri janib Bahrain wizarat sahet ne kaha ke Corona ke 44 naye mamlaat Record kiye gaye jabkay 26 sahet yab hogaye. Qatar ki wizarat sahet ne kaha ke Corona ke 929 naye mareez Record par aeye hain. Marrakesh ki wizarat sahet ke mutabiq Corona ka ek mareez kal chal basa majmoi tadaad 160 hogayi hai.

Lebanon mein Coronavirus ke mazeed 3 mareez Record par aeye hain jumla tadaad 707 tak poanch gayi. Shifa panay waloun ki tadaad 145 tak poanch gayi. Saltanat Oman ki wizarat sahet ne 93 naye mutasireen ka elaan kiya jis se Oman mein kul tadaad 1998 hogayi. Iraq ki wizarat sahet ne kaha hai ke mulk mein naye 57 mamlaat Corona ke Record kiye gaye. 39 afraad sahet yab huve aur shefayab afraad ki tadaad 1263 hogayi. Virus se 1 shakhs halaak hogaye hai aur halaak honay waloun ki tadaad 87 tak poanch gayi jabkay mutasireen ki kal tadaad 1820 hogayi.

Palestine wizarat sahet ne elaan jari karkay bataya ke guzashta 24 ghantay ke douran koi naya mareez Record par nahi aaya. Palestine mein mutasireen ki tadaad 495 hai. Misri wizarat sahet ne bataya ke mulk mein Corona ke 215 naye mareez Record par aeye hain. Mutasireen ki tadaad 4534 tak poanch gayi. 10 amwaat huven. Kul amwaat 317 tak poanch gayen. 62 sahet yab huve is terhan sahet yab honay waloun ki tadaad 1176 hogayi. –YTN STAFF