Saturday, May 4, 2024
HomeTrending NewsEmarat mein Corona ke mareezoun ki tadaad 15 hazaar se tajawaz

Emarat mein Corona ke mareezoun ki tadaad 15 hazaar se tajawaz

Dubai: UAE mein Corona ke 462 naye mareezoun ki tasdeeq huvi hai. Emarati khabar rasan Agency ke mutabiq wizarat sahet ne kaha hai ke guzashta 24 ghantoun ke douran Corona ke 9 mareez halaak huve hain. Wizarat sahet ne kaha hai ke mulk bhar mein 28 hazaar afraad ka muaina huwa hai jis ke nateejay mein naye mareezoun ki tasdeeq huvi hai. Wizarat ne kaha hai ke naye mareezoun ka talluq mukhtalif mumalik se hai jinhein Quarantine marakaz mein muntaqil kar diya gaya hai.

Wizarat ne kaha hai ke naye mareezoun ke izafay ke baad mulk mein Corona ke mareezoun ki tadaad badh kar 15192 hogayi hai. Wizarat ne kaha hai ke halaak shadgan ka talluq mukhtalif mumalik se hai jin ke baad halaak honay walay mareezoun ki kul tadaad 146 hogayi hai. Wizarat ne kaha hai ke Corona ke 187 mareez shefayab hugaye hain, Un ka Corona Test manfi aaya hai.  Shafayab honay waloun ki tadaad 3153 hogayi hai. –YTN STAFF