Saturday, May 4, 2024
HomeTrending NewsEmarat mein corona ke 781 naye mareez

Emarat mein corona ke 781 naye mareez

Dubai: UAE mein corona se shefayab honay walay mareezoun ki tadaad badh kar 4804 hogayi hai lekin saat hi 781 naye mareez Record par aeye hain jabkay 13 mareez halaak huve hain.

Emarati News Agency ke mutabiq wizarat sahet ney kaha hai ke guzashta 24 ghantoun mein 509 naye mareez shefayab hokar Quarantine marakaz se farigh kardiye gaye hain. Wizarat ney kaha hai ke waba ko mashor karne ke liye rahaishioun ke umomi maayne ke zimn mein guzashta din 29 hazaar afraad ka muaina kiya gaya hai. Un ka talluq muashray ke mukhtalif tabqaat se tha neez umomi maayne mein mukhtalif mumulk ke tarkin bhi shaamil they.

Umomi maayne ke nateejay mein 781 naye mareezoun ki tasdeeq huvi hai, Un ki haalat mustahkam hai aur inhen hidayat ke mutabiq ilaaj ki sahoolat faraham ki jarahi hai. Wizarat ney kaha hai ke mulk mein corona ke mareezoun ki tadaad 18198 hogayi hai. Jin mareezoun ki intqaal huwa hai un ka talluq mukhtalif mumulik se tha neez inhen corona se pehlay mukhtalif bemariyan la-haq then. Mulk mein corona ki wajah se halaak shodgan ki majmoi tadaad 198 hogayi hai. –YTN STAFF