Sunday, May 19, 2024
HomeSliderEmarat ke wazeer kharja Abu Dhabi mein pehlay Hindu Mandir ki taamer...

Emarat ke wazeer kharja Abu Dhabi mein pehlay Hindu Mandir ki taamer par pishraft ka jaiza liya

Dubai: Mutahidda Arab Emarat ke wazeer kharja aur bain ul aqwami taawun ke wazeer Mohammed bin Zayed Al Nahyan ne Abu Dhabi mein Hindu baradri ke pehlay mandir ki taamer karne wali hindu tanzeem ke numaindon se mulaqaat ki hai aur mandir ki taamer ki pishraft ka jaiza liya hai. Is mandir ka sang bunyaad pichlle saal April Abu Dhabi mein rakha gaya tha aur is ka kaam December se shuru kiya gaya tha. Haal hi mein Alain mein munaqidah ek ijlaas ke douran, Sheikh Abdullah ne BAPS Swaminarayan Sanstha ke Brahmoheri Swami se tabadlah khayaal kiya aur mandir ki taamer se mutaliq umoor ka jaiza liya. Abu Dhabi se jari kardah bayan mein yeh tafseelaat faraham ki gayi hain.

Is ijlaas mein Mutahidda Arab Emarat mein hindustani safeer Pavan Kapoor bhi mojood thay aur bayan mein kaha gaya ke Covid wabai marz ke un mushkil waqton mein aalmi hum ahangi ke is mansoobay se Hindustan aur Mutahidda Arab Emarat ki anokhi dosti aur taraqqi aur aman ke liye un ki lagan se aetmaad aur umeed ki bahaali hogi.

Brahmoheri Swami ne kaha ke kis terhan project team aur poori Hindu baradri Mutahidda Arab Emarat mein taweel mudti shiraakat ke liye waqf thi. Yeh nah sirf qadeem fun aur fun taamer ko mehfooz rakhnay ka balkay ek naya fun aur ek nai meeras takhleeq karne ka anokha mauqa hai jo hazaron saloon tak jari rahay ga. Yaad rahay ke is Mandir ka ek shandaar sunehri yadgaari Sheikh Abdulullah ko tohfa diya gaya tha. Bayan mein kaha gaya ke ek ghantay tak jari rehne walay ijlaas mein Abu Dhabi ke wali Ahad shehzada Sheikh Mohammad bin Zayed Al Nehyan ke mazeed jame, Ziyada pur aman aur hum aahang mustaqbil ke azm aur wabastagi ke baray mein tabadlah khayaal kiya gaya. Mutahidda Arab Emarat mein hindustani baradri kul abadi ka 30 feesad hai aur yeh khaleeji mulk mein sab se badi tarkin watan hai.