Dubai: UAE ne apne shehrioun aur rahaishioun ko beroun mulk safar karne ki ijazat day di hai. Tafseelaat ke mutabiq UAE ne elaan kiya hai ke Emarati shehri aur muqeem ghair mulki makhsoos sharait-o-zawabit ke sath safar kar saktay hain. Coronavirus se nimatnay ke silsilay mein Emarati Airports aur mutaliqa mumulik ki sharait poori karne par safar ki ijazat hogi. March mein UAE ne anay aur jaaney wali musafir parwazoun aur jahazoo ki transit service bhi moattal ki thi lekin is daoran Aiports par Cargo aur hungami inkhala ki ijazat thi.
Coronavirus ke phelao ko roknay ke liye deegar mumulik ki terhan UAE ne bhi hifazati intizamaa kiye they. UAE ne elaan kiya hai ke Emarati shehri aur muqeem ghair mulki makhsoos sharait-o-zawabit ke sath safar kar saktay hain. Coronavirus se nimatnay ke silsilay mein Emarati Airports aur mutaliqa mumulik ki sharait poori karne par safar ki ijazat hogi.
Emarat mein Emergency system ke qaumi idaray aur shehriat-o-qomiat ke wifaqi idaray ne mushtarqa bayan mein kaha hai ke Emarati shehri aur muqeem ghair mulki un mulkoun ka safar kar saken ge jahan ke liye Emarati aur deegar mulkoun ki fazai companian parwazein chala rahi hain.
Mushtarqa bayan mein mazeed kaha gaya ke safar karne waloun ko Emarati Airports ke muqarrar kardah sahet zawabit ki pabandi karna hogi. Sahet aama, Mutaliqa mulk ki janib se muqarrar test, Quarantine ki pabandiyan lagi huvi hain un sab ka ehtram karna hoga jabkay coronavirus se hifazati tadabeer ki baat mukammal aagahi bhi hasel karna hugi.
Safar se qabal aur wapsi par tamam muqarara zawabit ki pabandi karai jaye gi Emarati shehrioun ko safar ke douran muqami hukkaam se rabt-o-zabt ki sahoolat muhayya karne ke liye tawajed web App mein indraaj karwana hoga. Safar se qabal muqami shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ko naye coronavirus test karwana hoga. Safar se ziyada se ziyada 48 ghantay qabal ka hi corona test moutabar hoga.
Corona test ka nateejah Al-Hasm App ke zariye faraham karna hoga ya mulk ke kisi bhi Airport par mutayyan mutaliqa hukkaam ke samnay corona se mutasir nah honay ka Certificate pesh karna hoga. Corona test mein virus se pak honay aur International Health Insurance karwaye baghair kisi bhi shakhs ko safar ki ijazat nahi di jaye gi. Zarori hoga ke health insurance scheme is mulk mein bhi mo-asar ho jahan ka safar kiya ja raha hai.
Ghair mulkioun ko Emarat wapas anay par mutaliqa mulk se peshgi corona test report lana hoga. Emarati hukkaam ney 70 baras se ziyada omar ke logoun aur lailaaj amraaz mein mubtala afraad ko un ki sehat-o-salamti ki khatir un dinoun Emarat se baher ka safar nah karne ka mashwara diya hai.