Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderEmarat ka Mission Mereekh, Mausam se mutasir honay ka imkaan

Emarat ka Mission Mereekh, Mausam se mutasir honay ka imkaan

Dubai: UAE ka pehla khalayi tehqiqati mission 15 July ko mereekh ki taraf rawana hoga taham is ka imkaan hai ke agar mausam sazgaar nah huwa to program yakam August tak multawi kardiya jaye. ye surkh sayaray ki duniya ke raaz daryaft karne ke liye pehla khalayi Arab mission hai. Emarati khabar-rasan idaray ke mutabiq Emarati khalayi mission mereekh ka mausam daryaft karne aur aindah 100 baras ke douran wahan insani bastii basanay se mutaliq zurori maloomat haasil karne ki koshish kere ga.

Emarati khalayi mission Japan ke khalayi center Tanegashima shima se safar ka aaghaz kere ga. Is ka hajam Four wheel gaadi jitna hai. Wazan 1350 kilogram hai. Usay pilot ke baghair khudkaar system ke tehat control kiya jaye ga. Safar ka aaghaz mousmi halaat ko dekh kar kiya jaye ga.

Emarat ke is khalayi mission ko Al Amal ( Hope ) ka naam diya gaya hai. Mission ko mereekh tak pounchanay mein 7 mah ka waqt darkaar hoga. Ye mereekh tak pounchanay ke liye 493 million Kilometer ka safar tey kere ga. Jis waqt mereekh puhanche ga is waqt UAE ke awam riyasat ke qiyam ki 50 we saalgirah ka jashnn mana rahay hon ge. Al Amal khalayi mission madaar mein 687 din tak rahay ga.

Yaad rahay ke mereekh ka 1 saal kurrah arz ke 687 din ke barabar hota hai. Emarati khalayi mission Al Amal 3 technology wasail apne hamrah le kar ja raha hai. Saal bhar mereekh ke badalty hue mousamoo ki mukammal tasweer li jaye gi. Khalayi mission par red x-ray system nasb hai. Ye mereekh ke zaireen fazai ghilaaf ki pemaiesh kere ga aur darja hararat ka tajzia kere ga.

Khalayi mission mein intahi hassas camera nasb kiya gaya hai. Ye ozone ke hawalay se tehqeeq tareen maloomat haasil kere ga jabkay 43 hazaar kilo meter tak ki masafat ke faaslay se Oxygen aur Hydrogen ki miqdaar napnay wala aala bhi mission mein nasb kiya gaya hai.

Wazeh rahay ke America, Hindustan, Sabiq Soviet Union aur Europi khalayi Agency mereekh ke madaar par tehqiqati mission bhejnay mein kamyabi haasil kar chukay hain. China bhi mah rawan ke douran pehli khalayi shuttle mereekh bhejnay ki tayari kar raha hai.