Wednesday, May 8, 2024
HomeTrending NewsEmarat ka Mission mereekh aaj apni manzil ki taraf rawana hoga

Emarat ka Mission mereekh aaj apni manzil ki taraf rawana hoga

Dubai: UAE ka pehla ghair insani tareekhi mereekh mission aaj raat rawana kiya jaye ga, Ye mereekh par kisi Arab mulk ki janib se bheja jany wala pehla mission hoga. Surkh sayaray ki janib beje jany walay is mission ka naam Al Amal yani umeed rakha gaya hai, Mission Japan ke khalayi markaz se raat 12 baj kar 51 minute par rawana kiya jaye ga. Mausam ki kharabi ke baais mereekh ke liye Al Amal mission mein takheer hosakti hai, Mission ek ghantay baad Rocket se allag ho jaye ga, 1350 kilo wazni mission ka size sports gaadi jitna hai.

UAE ka ye ghair insani mission 49 crore 30 lakh kilometer ka faasla tey karkay 7 mah mein surkh sayaray par puhanche ga lekin wahan utarney ke bajaye madaar mein mereekh ke ek saal yani 687 roz taq gardish kere ga. Madaar mein is ki osat raftaar 1 lakh 21 hazaar kilo meter fi ghanta ho gi aur ye 55 ghantay mein madaar ke gird apna ek chakkar mukammal kere ga. Wazeh rahay ke rawan baras China aur America bhi mereekh ke liye apna mission bhejnay ka iradah rakhtay hain.