Thursday, May 9, 2024
HomeTrending NewsEmarat ka mereekh Mission 15 July ko launch kiya jaye ga

Emarat ka mereekh Mission 15 July ko launch kiya jaye ga

Dubai: Emarat ka mareekh Mission 15 July ko launch kiya jaye ga. Japan ke Tanegashima Falki center se Emarat ke waqt ke mutabiq raat 12 bajey launch kiya jaye ga. Emarat ki News Agency ke mutabiq Emarati mahireen ki Team launching se pehlay hatmi tajribati marahil mein hai.

UAE Space Mission

Emarat ke mareekh mission ko Hope Mission ka naam diya gaya hai. Is mansoobay par Emarati nojawan kaam kar rahay hain. Tawaqqa ki ja rahi hai ke ye feb tak apne madaar mein poanch jaye ga. Is waqt UAE ki Golden Jubilee manayi ja rahi hogi.

Is mansoobay par kaam saal 2014 mein shuru kiya gaya tha. Team ne khalayi jahaaz ka design tayyar kiya aur khud hi usay banaya. Team ne is ko baar baar test kiya aur is ko sakht halaat se ja guzaraa. Mareekh mission ka maqsad khalayi sanat mein UAE ke dakhlay ko mustahkam karna, Khalayi Science aur Engineering mein mulk ki salahiyatoun ko farogh aur khalayi tehqeeq ki aalmi koshisho mein Emarati nojawanoun aur Arab salahiyatoun ko behtar banana hai.

Coronavirus ki aalmi waba se darpaish challenges ke bawajood schedule ke mutabiq mereekh mission ki launching ki tayyariyan urooj par hain. Tehqiqati mission mareekh ke mahol aur is ki tahoon ki pehli baar tasaveer faraham kere ga. Ye mereekh ke mahol ke barey mein science maloomat akhatta kere ga jin ka poori duniya ke science shiraakat daaroun ke sath tabadlah kiya jaye ga. Emarat ka mereekh mission aabb-o-hawa aur mousmi tabdeelioun ka pehli baar jaiza le ga jis mein gird ke tufaan, Darjaa hararat mein tabdeeli aur mereekh ki satah ki tehqiqaat kere ga.