Monday, April 21, 2025
HomeSliderEmarat ka 50 sala Masterplan tayyar, 2071 ki sad sala Tasees par...

Emarat ka 50 sala Masterplan tayyar, 2071 ki sad sala Tasees par tawajah markooz

Dubai: Ek janib Saudi Arab mein vision 2030 ke tehat kayi ek inqalabi tabdeelian horahee jin mein khaas kar khawateen ko rivayet se hatt kar di jaaney wali azaadi qabil zikar hai to doosri janib ab Arab ilaqay ek aur mulk mutahidda Arab Emarat mein 50 sala Master Plan tayyar karliya gaya jo kay 2071 mein sad sala Tasees ke pesh-e-nazar tayyar kiya gaya hai.

Mutahidda Arab Emaraat ne darkhshan mustakbil aur iski tayari ke liye 50 sala Master Plan jari karne ka elaan kiya hai. Muqami media ke mutabiq 2020 mein is plan ko hatmi shakal di jayegi aur 2021 mein 50 sala jashn Tasees ke mauqa par is ka elaan hoga.

Al Bayan Website ke mutabiq mutahidda Arab Emaraat ne guzashta barsoun ke douran apni alehda pehchan banai hai. Mutahidda Arab Emaraat mein 2071 mein sad sala jashn ki bhi tayyariyan ki jarahi hain aur is ke tehat taweel almeyad 50 sala master plan tayyar kiya ja raha hai. Ye taweel muddat ke liye Road map hoga. Is silsilay mein Emaraati vision 2021 aur Abu Dhabi vision 2030 qabil zikar hain.

Mutahidda Arab Emaraat ne aindah 3 dahaoun ke liye tawanai ki hikmat-e-amli ka elaan kiya hai. Iska maqsad afraad aur idaroun mein tawanai ka istemaal 40 feesad tak ghatana hai. 2050 tak is hikmat-e-amli ke tehat 700 Arab Dirham bachaaye jayenge. Naib sadar o wazeer-e-azam Dubai Sheikh Mohammed bin Rashid Al Maktoum ke mutabiq Emaraati tawanai hikmat-e-amli tajadud pazeer tawanai, Atomi tawanai aur mahol dost kohistani tawanai ka imtezaaj hogi. Iske tehat Emaraat ki iqtisadi zaroriat aur maholiyati ahdaaf mein tawazun peda hoga. Sheikh Mohammad bin Rashid Al Maktoum ne kaha ke’ Emaraati maeeshat mein sharah numoo barqarar rakhnay aur tawanai ki talabb ki takmeel ko yakeeni bananay ke liye 2050 tak 600 Arab Dirham ka sarmaya lagaya jayega. –YTN STAFF