Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaEk Musalman kisi Masjid ko muntaqil nahi kar sakta : Maulana Arshad...

Ek Musalman kisi Masjid ko muntaqil nahi kar sakta : Maulana Arshad Madani

New Delhi: Jamiat-ul-ulama Hind ke sadar Maulana Arshad Madani ne itwaar ke roz kaha ke tanzeem Babri Masjid  Ram Janam Bhomi Case may Supreme Court ke faislay ke khilaaf nazar sani ki darkhwast daakhil keregi. unhoun ne ye bhi kaha ke ek Musalman kisi Masjid ko muntaqil nahi kar sakta, lehaza, is ke liye zameen qubool kar ne ka sawal hi peda nahi ho taa hai .

ek bayan may Maulana Madani ne kaha ke ”Supreme Court ne ek hal pesh kiya hai, jabkay jamiat-ul-Ulma Hind kayi saloun se qanooni jung lad rahi hai. ek hazaar safhaat par mushtamil apne faislay may, Supreme Court ne musalmanoun ke beshtar dalail qubool kar liya hai aur is ke baad bhi qanooni ikhtiyar baqi hai.

Unhoun ne kaha ke ”ASI ( Archaeological Survey Of India ) ki Report ke sath hi adalat ne wazeh kiya hai ke Masjid kisi mandir ko gira kar nahi banai gayi thi. aur 1949 may Moorti Masjid ke sehan may ghair qanooni tor par rakhi gayi thi. is ke baad, is ko gumbad ke andar muntaqil kar diya gaya, jabkay musalman is tareekh tak wahan namaz padh rahay thay“.

Supreme Court ke faislay ka hawala dete hue Maulana Madani ne kaha ke ”Aadalat ne ye bhi mana hai ke 1857 se 1949 ke darmiyan loog wahan par Namaz padh rahay thay. lehaza, jab loog 90 saal se kisi Masjid may Namaz padh rahay thay to is ko Mandir ke liye de dene ka koi matlab nahi hai.

Is baat ko Note karte hue ke Supreme Court shayad hi nazar sani darkhwastoun se mutaliq apna faisla tabdeel kere, Maulana Madani ne ye bhi kaha ke musalmanoun ko insaaf ke husool ke liye dastyab qanooni ikhtiyarat ka istemaal karna chahiye. -YTN STAFF