Monday, April 29, 2024
HomeIndiaEk gaon jahan kisanoun ne BJP ka dakhla band kardiya

Ek gaon jahan kisanoun ne BJP ka dakhla band kardiya

Dehradun: Mutanazia zarayi qawaneen ke khilaaf kisanon ka ehtijaj jari hai aur ab Uttarakhand ke Ek gaon ne Bhartia janata party ke arkaan, kaarkunon aur rehnumaoun ke dakhle  per pabandi aayed kardi hai.

Dadi udham singh nagar zila ke Malpuri gaon mein poster, banner aur hoardings manzar-e-aam par aaye hain jis mein kisaan mukhalif BJP kaarkunon aur rehnumao ko mutnabba kiya hai ke gaon mein inhen dakhlay ki ijazat nahi hai. Banner may mazeed mutnabba kiya hai ke agar woh gaon mein daakhil hue to koi bhi unki salamti ka zimmedaar nahi hoga.

Gaon ke sabiq pradhan Saba singh ne kaha jumla 70 kisanon ne is tehreek ke liye apni jaanoun ka nazrana paish kya hai aur BJP ki zair-e-qyadat hukoomat abhi bhi bazid hai. Hum BJP ke kisi ko bhi apne gaon mein daakhil honay nahi day rahay hain. Agar party hamari parwah nahi karti hai to hum bhi unki parwah nahi karte hain. gaon ke Ek aur rehaishi per majit singh ne kaha log naraaz hain aur agar party ke rehnuma ya arkaan gaon aaye to unhein na guzer halat ka saamna karna padega. Agay ka wahid rasta yeh hai ke hukoomat qawaneen ko khatam kere jo kisanon ke liye achay nahi hain.

Is zila ke kisaan dehli, NCR ke muzahiron ki himayat kar rahay hain. Is zila ke 20000 se ziyada kisaan pehlay hi delhi mein ehtajaji maqam par doosron ke sath shaamil ho chuke hain. qaumi dar-ul-hukoomat mein yom-e-jamhooria ke din tracktor parade mein hissa lainay ke liye Uttarakhand ke Adham singh nagar zila ke 3000 se ziyada kisaan apne tractor ko dehli ki sarhadpur ghazi pur rawana kar chukay hain.

Is mah ke shuru mein zila ke kisanon ne ehtajaji maqam par Dehli jane walay kisanon ke liye muft bas khidmaat shuru kardi hai. Yeh khidmat haftay mein do din paiir aur jummerat ko dastyab hai. Is khidmat ke akhrajaat abhi tak muqami Gurudwara committees ne bardasht kiya hai aur is kaam ko jald hi mazeed teen aur chaar din tak badhaane ka mansoobah hai.