Sunday, April 20, 2025
HomeSliderEk darkhwast mein sab barkhwast, Khandan ke sarbarah ka final Exit Visa...

Ek darkhwast mein sab barkhwast, Khandan ke sarbarah ka final Exit Visa sab ke liye kaar amad

Riyadh: Saudi Arab mein is waqt afraad khandan ke sath muqeem bairooni mumulk ke afraad ke liye waisay to kayi naye masail peda ho chukay hain jisakhe tijarat aur mulazimat ko barqarar rakhna jahan mehanga hogaya hai wahein khandan ke har fard ke naam par Tax ada karna bhi khandan ke sarbarah ke liye nai mushkilaat peda kar raha hai un masail ke darmain aisay afraad jo ke Saudi Arab se apne mulk afraad khandan ke wapas hona chahtay hain un ke liye ek Visa par mulk wapsi yakeeni hogayi aur un halaat par wo kahawat sach saabit horahee jis mein kaha jata hai ke ek darkhwast mein sab brkhwast.

Saudi mehakma Passport ke mutabiq khandan ke sarbarah ke liye kharooj nahai ( final Exit ) Visa is ke record par mojood ahal-o-Ayal , Maa, Baap, Saas Sasur aur gharilo amlay ke liye bhi kaafi hoga. Un sab ke liye allag se final Exit Visa nikalwana zurori nahi hoga. Tafseelaat ke mutabiq mehakma passport se ek ghair mulki ne twitter par daryaft kiya tha ke agar khandan ke sarbarah ne final Exit Visa haasil karliya to kiya ye is ke Visa par mojood ahal-o-Ayal , Maa  Baap, Saas, Sasur aur gharelo amlay ke liye bhi kaafi hoga ya nahi?

Mehakma passport ne wazeh kia ke sarbarah ka final Exit Visa lagnay ki soorat mein khandan ke tamam afraad is se faiz yab honge. Allag se har ek ka final Exit lagwana zurori nahi hoga. Doosri janib mehakma passport ne ek aur istafsaar ka bhi jawab diya jis mein sawal kiya gaya tha ke agar khandan ka sarbarah Saudi Arab mein mojood ho aur is ke ahal-o-Ayal mein se koi beron mumlikat ho ya is ke Maa Baap ya Saas Sasur ya gharelo amlay mein se koi ek mumlikat se bahar ho to aisi soorat mein Aqame mein towsee hosakti hai ya nahi? Mehakma passport ne wazeh kiya ke aisi soorat mein Aqame ki tajdeed hosakti hai. Ye baat pehlay bhi kayi martaba wazeh ki jachki hai. –YTN STAFF