Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsEid ke mauqa par 515 qaidyoun ki rihayi ka elaan

Eid ke mauqa par 515 qaidyoun ki rihayi ka elaan

Dubai: UAE ke saddar Khalifa bin Zayed Al Nahyan ney Eid Al Adha par 515 qaidyoun ko reha karne ka hukum diya hai. Sadaarti hukum se rihayi panay walay ye qaidi mukhtalif juraim mein sazayen poori kar rahay they. Sheikh Khalifa bin Zayed Al Nahyan ney un qaidyoun ke zimmay jurmanon ko bhi ada karne ka hukum diya hai.

UAE ki news agency WAM ke mutabiq sadaarti maffi UAE ke insani hamdardi ki bunyaad par kiye jaanay walay un iqdamaat ka hissa hai jo ke rawadari aur afoo dar guzar ki eqdaar par mabni hain. Rihayi panay walay qaidyoun ko zindagi ko naye suray se behtar andaaz mein guzaarne ka mauqa faraham kiya jata hai taakay wo misbet kirdaar ada karkay apne ahal khanah aur muashray ke liye mufeed sabet hon.

Qaidyoun ki saza mein ye maffi Sheikh khalifa Bin Zayed ke is azm ka hissa hai jo khandani hum ahangi, Khandano ko musarrat dainay aur maffi panay walay qaidyoun ko ek behtar mustaqbil ki taamer ka mauqa muyassar karne ke liye hai. Yaad rahay ke UAE ke sadar Sheikh khalifa Bin Zayed Al Nahyan ney qabal azeen Ramazan ki aamad par 1511 qaidyoun ki rehaie ka hukum jari kiya tha.