Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaEFLU talba ke sath Police ki zayad-ti, Hyderabad mein tanashahi ka ek...

EFLU talba ke sath Police ki zayad-ti, Hyderabad mein tanashahi ka ek aur saboot

Hyderabad: Hindustan ka dastoor ek janib tamam Hindustanyoun ko izhaar khayaal ki azaadi aur ehtijaj ka haq deta hai to doosri janib riyasat Telangana ki hukoomat aur khaas kar Hyderabad ki Police awam ko is bunyadi hak se mahroom karne ke liye apni taaqat ka istemaal karne mein masroof hai aur nawaboun ke shehar mein kayi maqamat par kalay qanoon ke khilaaf par aman ehtijaj ki nah sirf ijazat nahi di gayi balkay Police ne taaqat ka istemaal karte huve shehrioun ko apne dastoori haqooq se bhi mahroom kardiya hai aur ki taaza misaal Jamia Osmania ke ihata mein mojood ak aur University mein pesh anay wala waqea hai.

Guzashta raat English and Foreign Languages Univeristy ( EFLU ) ke talba aur Police ki thangayi kyunkay University ke tamam darwazay band kardiye gaye they aur talba ko Campus ke andar aur bahar jaaney se rokk diya gaya tha. Ye iqdaam Police ko ye ittila milnay ke baad kiya gaya ke talba ke University ke baher honay walay ek mukhalifat  CAA ehtijaj mein hissa lainay ke mansoobay hain. Taqreeban daidh ghantay tak jari rahay is be cheeni ke aalam mein talba ko University mein mahruse rakha gaya jis ke baad darwazay khol diye gaye

 EFLU mein se ek taalib ilm jo apna naam zahir nahi karna chahta tha is ne Media se kaha hamein WhatsApp par ittila mili ke Muazzam Jahi Market mein CAA, NRC aur NPR ke khilaaf ijtima ho raha hai aur hum is mein hissa lena chahtay hain. Raat taqreeban 2.45 bajey jab hum University ke gate par puhanche to hamein pata chala ke gate par tala laga huva tha aur baher police tainaat hai. Tenoun dakhli aur kharji raastoun par taaley lag gaye they. Kisi bhi taalib ilm ko University mein daakhil honay ya baher jaaney ki ijazat nahi thi.

Talba Lock down ke khilaaf ehtijaj karne University ke markazi gate par jama huve. Kuch talba band darwazoun par chadh gaye aur University ke baher ehtijaj kiya. Ek police ohdedar ne media se kaha ke hamein ittila masool huvi ke talba ne Muazzam Jahi Market mein ek ehtijaj mein hissa lainay ka mansoobah banaya hai jis ke baad inhen baher jaaney aur ijtima mein shirkat ki ijazat nahi di gayi thi. University ke gate shaam 3.30 se sham 4.30 bajey taq band rahay jis ke baad hum ne is jagah ko chore diya. –YTN STAFF